RC Book/Card Online Download kaise kare?

Kya aapka RC Book gum ho chuka hai aur ab new RC Book Online Download kanra chahte hai. To hum isme aapki help karenge. Agar Vehicles (वाहन) chalate hai aur uske malik hai. To aapke pas RC Book or RC Card hona jarur hai. Aap RC book ke bare me nahi jante hai to mai agar nahi jante hai to mai aapko bata du ki:- RC book Ek Tarah Document hota Hai. Jisme Hamare vehicles se related sari Jankari hoti hai. RC book ke andar aapke vehicles ka registration number, Registration ki Date, Engine number, Wahan ki loading/seating capacity, Vehicles ka color, Chassis number etc. ki jankari hoti hai.
rc-book-online-download-kaise-kare
RC book yah batata hai Ki:- hamara vehicles RTO Office me registered hai ya nahi. Agar aap Kahin Jaate Hain aur Aise me Police wale aap ko Rokte hai. To aapko verification ke rup me apni RC book dikhana hoti hai. Aur Agar aap ki RC Gum ho Jaaye to yah aapke liye problematic ho sakta hai. Esliye Aaj hum RC book Online Download karna aur Offline RC book duplicate nikalna ke bare me Puri Jankari dena vale hai.

RC Book Online Download karna sikhe in हिन्दी. 

Agar aap Traveling karte hai ya Local area me bhi Vehicles chalate hai. To aapko RC book hona jaruri hai. Esliye aapke Duplicate RC book ya RC card hona jaruri hai. Chunki hum RC book  Online download karna chahte hai. To iske liye Digi Locker ki help lena hogi. Jiski help se hum Duplicate RC copy download kar sakte hai. Lekin iske pahle hume Digi Locker par account banan hoga.

STEP :-1  Agar aapke pas Digi Locker account hai. To use login kare aur agar account nahi hai to Sign Up par click kare. Phir mobile number dale aur Verify karke Account bana lijiye.
digi-locker-sign-up-kare


STEP :-2  Account me login karne ke baad Issued section me jaye.
issued-tab-me-jaye
STEP :-3  Ab upar Search bar me Road type kare. Jisse niche aapko Ministry of Road Transport & High way, All States dikhai dega. Ise click kar lijiye.
ministry-of-road-transport-and-highways
STEP :-4  Ministry of Road Transport & High way select karne par usi ke niche ek list open ho jayegi. Jisme se aapko Registration of Vehicles ko select karna hoga.
registration-of-vechiles-download
STEP :-5  Ab simple aapko Vehicles ka Registration No. aur Chassis no. dal kar Get Document par click kar dena hai.
rc-card-ki-details-dale
Ab aap dekh sakte hai ki aapko apne Vahan ka RC book ya RC card ka Download button show hoga. Us par click kare aur card download kar ljiye. Aap chahte to Yaha se aap RC Book Online download kar sakte hai.

Yeh bhi padhe 👇

Facebook Account hack kaise kare?
Android Mobile hack kaise kare?
Google Search history delete kare?

RC Card gum ho jane par kya kare? [Offline Process]

Friends upar maine bataya ki kis tarha se aap RC book online download kar sakte hai. Lekin agar aap Offline manually tarike se duplicate RC banna chahte hai. To hamari niche batayi in steps ko follow kare.
1. Agar aapka RC card gum ho jata hai. To sabse pahle aapko apne Police Station me jana hai aur Vahan RC gum ho jane ki report karna hai. Report me aapko Vahan ka Registration no, Apna name, Gadi number, Address, Engine number etc likhna hai.

2. Ab aapko ek Chalan Card diya jayega. Jise hum local language me Khoya hua RC Card kahenge.

3. Ab aapko Duplicate RC Card ke liye apply karna hoga. Lekin isse pahle aapke paas kuch jaruri documents hona chahiye.

 (i)  Application:- Sabse pahle ek application likhe jisme aapke Vechiles ki puri jankari hona chahiye. Saath hi apna mobile number aur Duplicate RC ki request.

 (ii)  Documents:- Police Report, Vehicles insurance copy, Address & ID proof (Aadhar Card), Photo. 
 (iii)  Form No. 26:- RC Card duplicate banane ke liye sabse pahle Form no. 26 ko download kare. Print nikla lijiye. Aur phir ise fill kare.

 (iv)  Stamp Paper:- Ab ek stamp paper par Apni RC aur apni puri jankari dijiye. Aap 20 Rs. ya 50 Rs. ka stamp use kar sakte hai.
duplicate-rc-ke-liye-stamp-paper

4. Upar bataye sabhi documets ki puri file ready karne ke baad RTO ke Supprident officer ko de dijiye. Officer in sabhi document ka verfication karega aur phir is file par sign kar dega.

5. Ab ID proof aur Attacation karne ke liye Assistant Regional Transport office jaye. Yaha par kuch fees jama karna hogi aur phir receipt di jayegi.
6. Ab is receipt ko lekar phir se RTO Supprident ke paas jana hoga. Ab aapko acknowdlegment ki sleep di jayegi. Jisme likha hoga ki aapko Duplicate RC kitni Date ko di jayegi.

I hope guys ab aapko samjh me aa gaya hoga ki kis tarah se aap application karke Duplicate RC card nikalva sakte hai. Ya phir RC book online download kar sakte hai. Agar aapko RC card download karne me koi problem hai to hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare