Tally me Voucher Entry kaise kare? [Entry karna sikhe]

Hello guys kya accounting karte hai ya accounting sikhna chahte hai. To aapko Tally software ka use karna padta hai. Kyonki yah hamare Business account management ko aasan bana deta hai. Esliye maximum user Tally me Vouchers Enty karke apna business Report ready karte hai. Agar aap nahi jante hai ki ise kaise karte hai. To hamari is post ko pura jarur padhe.

Voucher kya hota hai?

Voucher, "Ek tarah ka document hota hai. Jisme company ke pure data ka report hota hai. Voucher me entry karke hi hum Tally me enty kar sakte hai. Manual entry me voucher ko Journal bhi kahte hai."
Dosto picchli post me humne Tally kya hai aur Tally me company kaise banaye sikhaya tha. Ab iski aage ki step me hume Voucher Entry karna sikhna hoga. Jiski steps maine niche batayi hai.
tally-me-entry-kaise-kare
Lekin iske pahle hume Ledger create karna honge. Iske liye Account info>Ledger>Multiple Ledger>Create me jaye. Yaha hum Ledger create karenge. Ab isme kuch entry karna hai. Jiski table maine niche batayi hai.

 EntryVoucher Type
Capital A/CCapital A/C
BOI Bank A/CBank A/C
Furniture A/CFixed Assets A/C
Rent A/CIndirect Expenses A/C
Furniture A/CFixed Assets A/C
Purchase A/CPurchase A/C
Sale A/C Sales A/C
Bishal A/CSundry Debtor A/C
Plant & Machinery A/CFixed Assets A/C
Interest A/CIndirect Income A/C
Tata A/CSundry Creditor A/C 

Tally me Entry karna hai?

Ledger create karne ke baad ab hum Entry karna sikhenge. Tally me Contra, Payment, Receipt, Journal, Sales, Purchase Yani ki total 6 types se entry karte hai. Ab hum janenge ki upar batayi gayi tally voucher types ka use Tally me entry karne ke liye kab aur kaise karte hai.
Entry start karne ke liye sabse pahle  Transaction tab ki Account Vouchers me jaye.
tally-me-voucher-entry-karna-sikhe
Yaha par Accounting voucher creation name se new windows open ho jayegi. Jisme hum apne record ke anusar different vouchers me entry karenge.

 1.  Contra Vouchers:- Contra vouchers me sirf Bank aur Cash se related entries hoti hai. Example:- Agar aap bank me cash deposit karte hai ya Cheque jama karte hai. Ya phir Payment transfer karte hai to in sabhi ki entry Contra me hoti hai. Contra me entry karne ke liye Keyboard se F4 press kare.
 2.  Payment:- Payment voucher me Payment se judi entry hoti hai. Agar aapne kisi Worker ko Salary pay ki hai ya Kisi tarah ke expense ka pay kiya hai. To Tally me Payment voucher ki entry karte hai. Payment voucher me entry karne ke liye F5 press karte hai.

Yeh bhi padhe:-
Excel me Tally Voice Bill banaye
Data Entry kya hota hai?
Computer ka Password kaise tode?

 3.  Receipt:- Is voucher me un chijo ki entry hoti hai. Jese ki agar aapko kisi party ka Cheque receive hua hai ya kisi assets se interest mila ho tab. Receipt voucher ko open karne ke liye F6 press karte hai.

 4.  Journal:- Yeh Voucher type dusro se thoda alaga hai. Kyonki jab upar ke kisi bhi voucher me entry nahi ho pati hai. To Journal Vouchers me entry karte hai.  Jaise ki kisi ko Worker ko advance salary payment dena, Advance sales or purchase. Journal voucher ko open karne ke liye F7 press karte hai.
 5.  Sales:- Company dvara purchase kiye gaye kisi product ko jab company sale karti hai. To is type ki entry ko Sales Voucher me entry karte hai. Receipt voucher ko open karne ke liye F8 press karte hai.

 6.  Purchase:- Agar business run kar rahe hai. To hume apne pas products ka stock rakhna padta hai. Aur jab hum koi product buy karte hai to Purchase voucher me entry karte hai. Receipt voucher ko open karne ke liye F9 press karte hai.

To dosto upar bataye 6 vouchers types se Tally me entry karte hai. Hum entry ko dekhte huye Voucher type open karte hai. Aur usme entry kar dete hai. To dosto ab to aap logo ko samjh me aa gaya hoga ki kis tarike se hum Tally me entry karna sikh sakte hai. Agar aapko entry karne se related koi problem hai to hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare