WhatsApp nahi chal raha hai to kya kare?

Hello friends, Kya aap Whatsapp use kar rahe hai aur achank se aapke mobile se whatsapp message jana band ho gaye hai. Yani ki Whatsapp message nahi ja rahe hai ya Whatsapp nahi chal raha hai. To iske karan aap kisi bhi Contact listed person ko message, photo, Video send nahi kar paa rahe honge. To humne is Whatsapp ki is problem ka solution yaha par bataya hai.
whatsapp-nahi-chal-raha-hai
Agar aapka bhi Whatsapp nahi chal raha hai to aapko is post ko jarur padhna chahiye. Taki aapki problem ka solution ho sake.

Whatsapp kyo nahi chal raha hai?

Dosto vese to Whatsapp me koi problem nahi aati hai. Lekin kabhi kuch internal settings ya App problem ke karan Whatsapp nahi chalta hai ya Whatsapp message nahi jate hai. To hamari niche bataye kuch points ko read & follow karne ke baad aapka whatsapp phir se chalu ho jayega. Esliye niche bataye point ko jarur padhe.

 1.  WhatsApp Message nahi ja raha hai [Not Sending]

Agar koi vyakti aapko message kar rahe hai vo to aapko receive ho rahe hai. Lekin aapka koi bhi whatsapp message nahi ja rahe hai to iska ek karan WhatsApp Up to Date nahi hona hai. Esliye apne whatsapp ko update jarur kare.
Whatsapp ko update karne ke liye Play store me jaye. Whatsapp search kare aur phir Whatsapp par click karke Whatsapp Update kar lijiye. Kuch hi seconds me Whatsapp update process complete ho jayegi. Aur Whatsapp message nahi ja raha hai ki problem ka solution ho jayega.

 2.  Whatsapp message nahi aa raha hai? [Not Receiving]

Dosto updar maine bataya ki agar whatsapp message nahi ja raha hai. To aapko App update kar lena chahiye. Lekin agar Whatsapp message nahi aa raha hai to iska karan aapki internal memory ka full hona ya Network problem ho sakta hai.
Iske liye aap one by one points ko try kar sakte hai. Sabse pahle jante hai ki internal memory free kaise kare. Internal memory ko free karne ke liye mobile ke Gallery ya File manager me jaye aur Unused file ko delete kar dijiye. Jisse Phone me thodi space ho jayegi. Agar Whatsapp photo download nahi ho raha hoga to is problem ka solution bhi ho jayega.

Dosto, Agar mere upar bataye point ko follow karne ke baad bhi Whatsapp nahi chal raha hai aur message nahi ja rahe hai to Mobile network ki problem hai. Iske liye aap Phone ko Airplane mode me dale aur phir se normal kar dijiye. Taki network refresh ho sake. Ya phir phone ko ek bar restart kar lijiye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare