Instagram par Followers Kaise badhaye? [100% Real]

Hey guys, Kya aap bhi popular Instagram pages ki tarah apne Instagram par follower badhana chahte hai. Taki jab kabhi bhi aap apni profile par Photo, Video share kare to use jyada like mile aur jyada share ho. To dosto aaj ki is post me mai Aap logo ko Instagram follower kaise badhaye ke tarike ki puri jankari dene vala hu.
instagram-par-followers-kaise-badhaye
Mere bataye tariko ko apna kar aap kuch hi dino me dekhnge ki kuch hi dino me Instagram follower increase ho jayenge. To chaliye dosto shuru karte hai aur jante hai ki aakhir ise kaise karte hai?

Instagram Follower badhana sikhe

Friends, Agar aap Instagram follower badhana sikh jate hai to uske baad apne apne Instagram page se kamayi kar sakte hai. Jese ki popular pages karte hai.

1. Use popular # hashtag

Dosto agar Aap apni Instagram post ko viral karna chahte hai taki us par jyada followers visit kar sake. To iske liye jab kabhi bhi aap Post (Photo, Video) share kare to caption me popular hashtags '#' or Public hasthtags use kare. Taki aapki post un hashtags me shamil ho jaye. 

Chunki popular hashtags par Numbers of follower bahut jyada hote hai. Aur har koi us hashtag ka use karta rahta hai. Aur Hashtag ke according search karta rahta hai. Jab uses us hashtag par aayega aur use aapki post pasand aati hai. To vo aapki profile par visit karega aur phir follow kar sakta hai. To Dosto yah tha pahla tarika jise aap Instagram followers badhaye ke liye try kar sakte hai.

2. Find Follow Back Users
Instagram followers increase karne ke liye aapko selected user ko follow back karna hoga. Jo ki aapke follow karne ke baad aapko Follow back kare. Ab aap soch rahe honge ki yah hume kaise pata chalega ki kon hume follow back karega aur kon nahi. To mai aapko bata du ki jab aap uski profile par jayenge. To aapko Followers aur Following dono show honge.
Agar vo user apne Followers ke 40% user ko bhi return follow karta hai. To yaha par aapki Instagram profile par follow back aane ke chances hote hai. Man lijiye ki Agar use 500 users followers hai aur 200 following to vo aapko Instagram par follow back kar sakta hai.

Instagram Follower badhane ki Tricks

3. Tag other Profile

Jab kabhi bhi aap Photo share kare to usme Photo face par click karke un Instagram profiles ko follow jarur karna chahiye. Taki unhe Tag hone ki notification mil jayegi aur vo bhi aapke photos ko like, Comment kar sake. Aur agar vo us post ko share kar deta hai to uske followers se aapke Instagram profile par followers badh sakte hai.

4. Say to Share

Jab kabhi bhi aap Post- Photo, Video share kare to usme Share karne ke liye jarur kare. Taki jab vo post uske followers list me show ho tab usme se koi bhi us post ko like kare aur aapki profile par visit kare to Original page ko follow kar sake.

5. Say to Like, Comment
 
Agar aap Apni post par jyada Likes and comment chahte hai. To post ki caption me hashtag ke saath me Like and comment karne ke liye bhi jarur kahe. Jab koi user us post ko like karega. To is chij ka notification uske following users ke paas bhi jata hai. To uskoi dekhte huye ho sakta hai dusra user bhi aapko Follow karna start kar de. Jisse aapke Instagram par followers badhaye ki process start ho jayegi.
6. Be Regular

Friends Sabse last me sabse important chij yah hai ki aap jis kisi bhi page ya profile par Instagram followers badhana chahte hai. Us par regularly latest post share karte rahe taki users ko pata chalta rahe hai ki yah pages active status me hai. Otherwise vo aapke page ko follow nahi karenge.

Dosto agar aapko meri yah post Instagram par followers kaise badhaye pasand aayi hai. To aap meri is post ko share karna na bhule. Aur mujhe Instagram par follow bhi jarur kare. Instagram profile name:- Bishal_Bhati

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare