5 tariko se Instagram se Paise (Rs) kaise kamaye?

Hey guys aaj kal social media- Instagram ka bahut trend chal raha hai. Har koi social media par apne content like- Video, Images, Mimicry ke talented videos bana raha hai. Aur use apni profile par share kar raha hai. Aur isi karan se aapke profile par user visit kar rahe hai. To kya aap jante hai ki in visitors ki help se aap Instagram se paise kama sakte hai. Agar aapko iske bare me koi jankari nahi hai to puri post jarur padhe.
instagram-se-paise-kaise-kamaye
Dosto agar aap bhi Instagram se paise kaise kamaye janna chahte hai. To mai aapko bata du ki yah aaj ke time par ghar bethe paise kamane ke Top tariko me shamil hai. Aur ise bahut sare Iusers use kar bhi rahe hai aur Instagram se earning bhi kar rahe hai.

Instagram se Paise kamana sikhe?

Dosto jesa ki maine aapko abhi upar bataya ki Instagram se paise kamane ka tarika top tariko me shamil hai. Agar aapke pas bhi koi Page ya profile hai jis par aap image, Video share karte rahte hai. Aur us par Like or Comments milte rahte hai. To vah instagram page aapko paise kamane me help kar sakta hai. To chaliye dosto mai yaha par aapko one by one Instagram se paise kaise kamaye ke tarike batane ja raha hu.
Sale Products:- agar aapke page par achchhe followers hai to aapko product saling acha paisa kama kar de sakti hai. Bas simply aapko jis bhi product ko sale karna hai us company ke product ka promotion karna hoga. Jab aap us product ko apne page par promot karenge aur koi user use buy karta hai. To aapko us product saling ka commission percentage share kar diya jayega.

Yeh bhi padhe:-
Profile/Page promotion :- Agar koi user jo apne page par followers badhana chahta hai. To aap usse contact kar sakte hai aur kah sakte hai ki mai apne is page par aapke page ya profile ko promot karunga jisse aapke page ke followers badhenge. Agar vo agree karta hai to aap use apna charge bata dijiye aur apne page par uski profile ko promotion start kar sakte hai. Ab users uski profile par bhi jaye aur follow kare uske liye Caption me us page ka link aur Photo me use Profile ko Tag bhi kare. Taki koi bhi user us page tak pahuch sake aur use follow kar sake.

Photo Selling :- Agar aapke pas original and quality based photos hai to aap unhe online sale kar sakte hai aur Instagram se paise kama sakte hai. Aapke photos koi aur ese hi use na kare iske liye Photo me watermark jarur lagaye.
Edit Photos for User:- Friends aap yah bat to ache se jante honge ki Instagram maximum photo sharing platform hai aur user apni profile par edited and attractive photo ko share karte hai. Aur agar aapke pas photo editing ka talent hai to aap bhi user ko payable service dekar unke liye photos edit kar sakte hai.

Affiliated marketing:- Instagram se paise kamane ke liye affiliated marketing bhi ek acha tarika hai. Agar aapke profile par ache followers hai to aapko kisi bhi popular E-commerce website se Affiliated account bana kar us product ki link dekar product ko sale karna chahiye. Jab kabhi bhi koi user us link se koi product buy karega to aapko us product ka commission account me transfer kar diya jayega.

Show comments
Hide comments

1 comment:

  1. Acchi post hai .. Sir bataye Facebook se paise kaise kamaye...?

    ReplyDelete

Apna Comment Kare