Jio Phone me Call Forwarding kaise hataye OR band kare?

Hello friends, Welcome back last post me humne aapko Jio phone me call Divert/forward karna sikhaya tha. Aur aaj ki is post me hum aapko Jio phone me call forwarding hatana sikhane vale hai. Jab agar hume emergency situation jaise- Phone charge nahi hone ki condition me apni call dusre mobile par divert kari thi to aur ab uska kaam pura ho chuka hai. To ab hume apne Phone se us call forwarding ko deactivate kar dena chahiye.
jio-phone-me-call-forwarding-hataye-band-kare

Agar aap us call forward ko off nahi karte hai. To jab bhi koi aapko call karega to us entered number par abhi bhi call divert/forward hogi. Lekin agar ab agar aapka phone start ho chuka hai. Aur chahte hai ki hamare Jio phone ki call divert band kar di jaye to uske liye hamari niche batayi steps ko follow karna padega. Jise karna bahut hi aasan hai.

Jio Phone me Call Divert/Forward hatana sikhe in Hindi

Jesa ki abhi maine upar bataya ki ab call divert ka work pura ho chuka hai. Aur ab aap is Jio phone call forwarding ko hatana chahte hai. To aapko hamari steps follow karna hai jise ab start kar rahe hai.

STEP :-1  Firstly aapko Jio phone Settings me jana hai.
phone-settings-me-jaye
STEP :-2  Ab setting me aane par Network & Security section me Call Setting ke name se option dikhai dega. Is settings ko open kar lijiye.
jio-phone-call-setting-open-kare
STEP :-3  Call settings me jane par Call forwarding ka option show hoga. Ise open kar lijiye.
call-forwarding-option-select-kare
STEP :-4  Ab upar ki steps ko follow karne par ab Call Forwarding ke sabhi conditional & unconditional option show ho jayenge. Yaha par aapko jitne bhi options dikhai denge un sabhi ka alag-alag work hai. Jise hum different conditions me On kar sakte hai. Chunki abhi hum Jio phone call forwarding hatana chahte hai.

Yeh bhi padhe :-
To sabse pahle to hume us setting ko open karna hai. Jise hum deactivate/band karna chahte hai.
jio-phone-call-forwarding-band-karna
Maan lijiye ki aapne apne Jio phone par aane vali sabhi calls ke liye Always call forwarding chalu kara tha. To phir ab aapko usi setting option ko open karna hai. Aur usme jakar aapko Disable kar dena hai. Aur number remove kar dena hai. Disable select kar dene se ab aapke Jio phone ki call forwarding band ho jayegi. Yani ki Jio phone call forwarding hat jayegi.

Last Word:-

Dosto agar aapne kisi situation ko dekhte huye apni phone ki incoming calls ko dusre mobile par divert kara tha. To kaam pura hone ke baad aapko us Jio phone call forwarding ko off kar dena chahiye. Taki ab usi mobile par call attend kar sake.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare