Jio Phone me Network nahi aa raha hai Kya kare?

Hello guys Kya aap Jio phone ka use karte hai. Agar ha to aap bilkul sahi website par hai. Kyonki yaha par hum daily Jio phone se related bahut sari tricks, problem and solution share karte hai. Aur aaj ki is post me hum aapko Jio phone me network nahi aa raha hai ki problem ka solution dene vale hai.
jio-phone-me-network-nahi-aa-raha-hai
Agar aapke phone me bhi network nahi aata hai to aapko kisi bhi vyakti ko call nahi kar sakte hai aur naa hi Jio phone se message send kar sakte hai. Yani ki agar aapke Jio phone me network nahi aata hai. To aapka Jio phone offline ho jata hai. Jisse vo sirf chalane ke alava aur kuch bhi kaam ka nahi rahta hai.

Esliye aap ise jald se jald-jald thik karna chahenge. Lekin agar aapko is bare me koi jankari nahi hai ki apne Jio phone me network vapas kaise laye? Or Jio Phone network problem kaise thik kare? To mai aapki help karunga. Iske liye aap niche bataye points ko follow jarur kare.

Jio Phone me Network nahi hai to kaise laye?

Dosto Jio phone me kitne features hai yah to aap bhi jante honge. Lekin in sab chijo ke hone ke saath isme kuch problems bhi hoti hai. Jisme se Jio phone me network nahi aa raha bhi ek problem hi hai. To ab jante hai ki network vapas kaise late hai.

STEP :-1  Sabse pahle Jio Phone ka Menu open kare aur Settings me jaye.

STEP :-2  Settings me jane ke baad Network & Connectivity tab ke Mobile & Data me jaye.
STEP :-3  Network & connectivity me jane ke baad ab APN Settings me jaye. Yaha par ab Data settings aayega ise open kar lijiye.
STEP :-4  Ab yaha par aapko abhi sirf Jio 4G show hoga. Tab hume left side se Add APN button ko press karna hai.
STEP :-5  Dosto, Jio phone me network nahi aa raha hai ki problem ke solution ke liye hume New APN add karna hoga. Ab APN name me Jio net likh dijiye aur baki sabhi chijo ko blank hi rahne dijiye. Aur phir Save button ko click kar dijiye. Jisse New APN save ho jayega.
STEP :-6  APN add karne ke pahle Jio 4G select tha ab hume Jio net ko select kar Ok kar lena hai.
Dosto is setting ko karne ke baad apne Phone ko restart kare. Taki new settings apply ho sake. Ab apne aap dekh sakte hai ki Jio phone me network aa jayega aur pahle ki tulna me Internet data bhi fast chalega.

I hope guys aapko hamari yah post pasand aayi hogi agar aapko hamari yah post Jio phone network problem solution pasand aayi hai. To hume comment kar jarur bataye. Aur is post ko share bhi jarur kare.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare