Mobile se Print Out kaise nikale? [Latest Technique]

Hey kya aap abhi bhi old fashion tarike se print out nikalte hai. Agar Ha to aaj mai aap logo ko abhi ki latest technology me Mobile print out nikalna sikhane vala hu. Jiski help se aap without Pc/Laptop ko print se connect kar print le sakte hai.

Jabki regular/old fashion print out system me aapko apne PC/Laptop ko USB ke dvara printer se connect karna padta hai. Uske baad hi aap printer se Output ke rup me print le sakte hai. Aur kisi bhi naye computer/laptop me printer ko connect karne se pahle usme Printer drive ko install karna padta hai. Lekin Mobile se print nikalne ke pahle aapko mobile me kisi bhi tarah ke Printer driver ko install karne ki jarurat nahi hoti hai.
mobile-se-print-kaise-nikalte-hai
Hume is method ki khas jaruat tab hoti hai. Jab hamara computer/laptop active condition me nahi ho. Aur sirf printer available hai aur esi situation me aapko apne emergency work ko hard copy (print) nikalna hai. To aaj ki yah post technique aapki isme help karegi.   

Simply aapko Printer company ke official App ko download karna padta hai. Ya phir Cloud printing ke through print kar sakte hai. Yani kul milakar aapko shortcut tarike se printing mil jati hai.

Mobile se Print kaise nikalte hai?

Agar aapko urgent me koi print nikalna hai to mobile se print nikalna jarur sikh lijiye. Taki aap kabhi bhi iska use kare. Ise karne ke liye hamare pas 2 method hoti hai.
  1. Cloud Printing ke through 
  2. Using Any Printer Sharing App
Upar bataye dono hi tarike best hai yaha par mai dusra tarike ke bare me detail se batane vala hu.  Lekin sikhna start karne se pahle aapke pas niche batayi chije jarur hona chahiye.

Print karne se pahle jaruri chije

1. Printer
2. Mobile with Android App
3. OTG (Yadi 1 method use kar rahe hai tab)

Printer Sharing App se Phone se Print nikalna sikhe.

STEP :-1  Sabse pahle Play store se  mobile me Printer Share App download lijiye.


STEP :-2  Open karne ke baad Continue kare.
app-ko-continue-kare

STEP :-3  App open karne par dekh sakte hai ki niche aapko Printer select karne ka option dikhai de raha hai. Select par click kare.

STEP :-4  Ab printer select karne ke liye aapko 5 tarike dikhayi denge. Isme Mai aapko suggest karunga ki Direct USB Connected method ko choose kare.
usb-ke-dvara-printer-connect-kare
Lekin iske pahle aapko apne Printer ko USB ke dvara mobile se connect kar lena hai. Ab chunki mobile me directly USB connect nahi kar sakte hai. Iske liye OTG connector ka use kare aur usme printer ki USB ko plug kare. Uske baad aapko printer ka name show hoga. Isi bich printer se Permission bhi confirm ki jayegi esliye use Ok kare. Uske baad mobile se printer connect ho jayega.
print-ke-pahle-print-preview-check-kare
STEP :-5  Ab jesa ki aap Menu me dekh sakte haiki aapko 9 Type ki categories (Image, Document, Contact ...) di huyi hai. Aap jis chijo ko print karna chahte hai. Use select kar lijiye. Maan lijiye ki agar aap Mobile se Document print karna chahte hai. To document me jaye aur browser kare.
mobile-se-yah-chij-print-kar-sakte-hai
Aur Vahi niche ki aur aapko Option button bhi diya hua hai. Jaha se Paper size, scaling, Picture align, Page margin, orientation select kar sakte hai. Agar aap chahe to yaha se apne paper ka size A4, A3 etc select kar sakte hai. Aur last me mobile se print nikalne ke liye Print button par click kar dijiye.

I hope guys ab aap logo ko samjh me aa gaya hoga ki bina printer ko touch kare mobile se print nikalna kitna aasan hai. Agar aapko hamari yah post pasand aayi hai to hume comment kar jarur  bataye. Aur isi tarha ki new post notification pane ke liye hamari website ko subscribe bhi jarur kare. Taki aapko post notification milti rahe.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare