PayTm me Paise kaise kamaye? Top 5 Tarike

Hey guys kya Aap Paytm user hai aur apne sabhi transaction or bank payment transfer, Shopping Paytm se karte hai. To product buy karne par aapko Cash back ke rup me iska fayda bhi milta hoga. Lekin kya aap jante hai iske alava aur bhi dusre tarike hote hai jinhe follow karke hum PayTm me paise kama sakte hai.
paytm-me-paise-kaise-kamaye
Iske pahle bhi humne hamari is website par aapko Paise kamane ke liye App ke bare me bataya tha. Jo ki aap logo ko bahut pasand aayi thi. Aur aaj hum PayTm se earning ke bare me batane vale hai. Agar aapko iske bare me koi jankari nahi hai ki Paytm me paise kaise kamaye to aapko is post ko pura jarur padhna chahiye.

PayTm me Paise kamane ka tarika?

Internet par bahut sare Online Android Apps and Websites hai jaha se aap Online earning kar sakte hai. Lekin vo sabhi safe and secure nahi hote hai. Lekin aaj hum aapko jis Application ki help se Paise kamana batane vale hai. Yah App bahut hi Trusty hai aur India me iske Millions user hai, Jo ki is Application ka use kar rahe hai.

Aur ise hum PayTm Android Application ke name se jante hai. Upar maine aapko Paytm Kya hai ke bare me bataya tha. To chaliye dosto ab hum jante hai ki PayTm me paise kaise kamaye. Iske liye aapko hamare niche bataye sabhi tariko ko achchhe se padhna hoga.

 1.  Make PayTm Seller Partner Account

Dosto jesa ki aap jante hai ki Paytm bhi ab Amazon, Flipkart ki tarah online products ki selling karta hai. Vo bhi apne hi App par yani ki aapko alag se kisi bhi Apps ko download karne ki jarurat nahi padti hai. Yaha par aapko Shop name se Tab mil jati hai. Jaha se aap kisi bhi product ko buy kar sakte hai. Aur yaha par hume online shopping karne ke liye different seller ke different products show karte hai.

Jab hum apna PayTm seller partner account bana lenge aur apne products ko Paytm shopping mall par upload kar denge. To hamare prdoucts bhi Shopping sections me show honge. Uske baad agar koi bhi user hamare product ko Buy karega to hume uska commission milega. To friends, Yah tha pahla tarika jisse hum PayTm me paise kamana start kar sakte hai.

 2.  Affiliate Marketing

Jab hum Amazon, Flipkart jesi kis bhi E-commerce website par apna Seller account bana lete hai. To hume vaha se us product ko sell karne ke liye ek affiliated link milti hai. Jise hum share karte hai aur phir jab kabhi bhi koi user us link se hamare product ko buy karega to hume uska share ya commission milta hai.

Yeh bhi padhe:- 
Thik usi tarah se Paytm bhi hume paise kamane ke liye Affiliated marketing ka platform provide karta hai. Simply hume Paytm affiliated marketing ko Join karna hai. Aur products ki link ko share karte jana hai. Jab bhi koi user hamari link se product buy karega to vo Paytm App ya website par redirect hoga aur phir vaha se product ko buy karega to hume uska paisa hamare Paytm account me mil jayega. Jise baad me hum chahe to Paytm par hi use kar sakte hai ya phir apne bank account me transfer bhi kar sakte hai.

5 Tariko se Paytm se paise kamana sikhe 

 3.  Refer & Earn

Friends, Mobile user ke liye Paytm se paise kamane ke liye Mai ise sabse best tarika manta hu. Kyonki isme aapko jyada koi mehnat nahi lagti hai. Simply aapko apne Paytm account se Refer link send karna hai. Aur apne friends, family ko share karna hai.

Agar koi bhi vyakti aapki link se PayTm par new account banata hai PayTm Sign Up karta hai. To aapko Paytm me Paise kamane ka moka milta hai. Every new sign up par aapko Paytm cash ya kuch points dega jinse aap kuch bhi buy kar sakte hai ya phir bank me transfer kar sakte hai.

Lekin mai aapko suggest karunga ki aapko PayTm gold buy kar lena chahiye. Kyonki Paytm gold buy karne par bhi Cash back milta hai to vaha se aapko Rs. ka cash back mil jayega. Jisse aapka payment as it is return mil jayega.

 4.  Task complete karke PayTm se paise kamaye

Aaj ke time par vyakti Paytm se paise kamana to chahta hai. Lekin bina kisi mehnat ke liye to ese vyaktiyo ke liye Task Application best hai. Is method me aapko Task complete apps ko apne android mobile me download & install karna hai. Jiske baad aapko App me kuch tasks complete karne ke liye kaha jayega.

Task complete karne par hume Paytm Reward ya phir Paytm point milte hai. Jise hum Rs. me convert bhi kar sakte hai.

 5.  Promo Code/ Coupon Code

Friends kisi bhi shopping ko attractive and afordable banane ke liye online industries me Promo code ya coupon code ka use kiya jata hai. Yah ek tarah ke special codes (Number, Text) hote hai. Jise shopping karte time use karke product price me less kar sakte hai. Man lijiye ki agar kisi product ki price 1400 Rs. hai aur agar humne 30% discount ka promo code use kiya hai. To hume 420 Rs. ka discount milega. Yani hume product sirf 1400-420=980 me milega.

To dosto yah the 5 tarike jinhe follow karek aap badi hi aasani se Paytm se paise kama sakte hai. Iske liye aapko kisi bhi investment ki jarurat nahi hai. Simply Paytm App ko download karna hai aur phir kisi bhi method ko follow karke Paytm se paise kamaye ki process start kar sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare