OK Credit se Mobile me Udhar Khata kaise chalaye?

Hey guys kya aap Apne friends aur business ke logo ko paise udhar dete rahte hai. Isme koi buri baat to nahi hai lekin agar aap apne hisab ko bhul jaye yani ki agar galti se kahi kisi ko udar diya paise miss ho jaye to. Yah aapke liye paise ka nuksan ho sakta hai. Aise me aapko apne hisab ka record jaruri hai taki aap kab, kise aur kitna paise (Rs.) udhar dete hai pata rahe. Taki aapko loss nahi ho to iske liye aapko Udhar khata manage karna hoga. Aur iske liye mobile me OK Credit App aapki help karega.
ok-credit-udhar-bahi-khata-app-download-kaise-kare
Ab vo purana samay to raha nahi ki aap apne hisab ko copy, Pan lekar manage kare. Esliye aaj ke time par bahut sare Android, iOS Apps available hai jisse aap mobile se hi udhar khata ko chala sakte hai. Android mobile me ise manage karne ke liye OK Credit App best hai. Kyonki hum isme har kisi ko diye jane vale udhar paise ka hisab rakh sakte hai. Jisme hume yah bhi pata chal jata hai ki humne kab aur kitna paisa diya tha.

Iski khas baat yah hai ki jab hum kisi ka Payment due add karte hai to udhar lene vale vyakti ke paas due payment ka message bhi send ho jata hai. Jisse udhar lene vale vyakti ko bhi pata chal jata hai ki usne kitne Rs. ka udhar paisa liya hai. Is Application se udhar khata ko manage karna aur bhi aasan ho jata hai.

OK Credit Download kaise kare aur Kya hai?

Agar aap bhi kisi ko udar paise dete rahte hai aur unka hisab rakhna chahte hai. To OK Credit App:- Udhar bahi khata manage karne me aapki bahut help karega. Agar aapko is Application ke bare me kuch jankari nahi hai to niche humne OK credit App kaise chalate hai aur OK Credit App me udhar paise ki entry kaise karte hai ya OK Credit me Due/Receive payment kaise Add karte hai sikhane vale hai. Lekin iske pahle aapko OK Credit Android Application ka introduction dena chahta hu.

OK Credit Kya hai?

OK credit ek Android Application hai jisme hum Udhar ki len-den khata ki entry kar sakte hai. Ise Digital India ka Digital Udhar khata  kahte hai. Yah App 100% Safe, Secure, Personal hai. Ise small business ke owner ke credit/debit record solution ke liye banaya gaya hai. Yah multi language (9) based hai yani ki esa jaruri nahi hai ki ise Aap ise sirf English me hi chalaye balki hum ise Hinglish(Whatsapp language), हिंदी, Gujrari etc me chala sakte hai. Iske bare me adhik padhne ke liye iski website par jaye. Ise use karne ke liye abhi hi niche di gayi link se ise download kar sakte hai.

OK Credit par Account banaye aur kaise chalaye? 

Upar link se App download karne ke baad ise Open kar lijiye. Open karte hi aapse Language select karne ke liye kaha jayega. Yaha par hum Hinglish language select kar rahe hai. Language select karte hi aapse Mobile number verification ke liye kaha jayega. Tab mobile Verification button par click kare.
ok-credit-account-kaise-banaye
Apna mobile number dale aur Ok kar dijiye aapke dvara enter kiye gaye number par ek OTP bheja jayega jise aapko yaha par submit karna hai. OTP verify hote hi Ok credit par account ban jayega.

OK Credit me len-den kaise kare?

Ab hum yah jan lete hai ki kis tarah se hum Ok credit me udhar khata len-den ki entry kar sakte hai. Iske liye hume apne OK Credit account me members ko Add karna hoga. Iske liye Customer jodein par click kar dijiye.
ok-credit-me-customer-kaise-jodein
Ab yaha par aapko us grah ka naam type karna hai jise aapne diya hai ya udhar liya hai. Iske baad aapko Import Phone Contact par click kar dena hai.
Yaha Hum contact import esliye kar rahe hai taki jis vyakti se hum le rahe hai ya udhar de rahe hai uska Text message send ho jaye.
Ab Contact list se contact select kar lijiye. Yaha par agar aapne selected contact number vale vyakti se udhar liya hai to Payment liya ko select kare. Aur agar Payment Udhaar diya hai to Udhaar diya par click kare. Maan lete hai ki maine udhaar diya hai to iske butto par click kar dunga.
  • Ab aapne jitna payment udhaar diya hai numbers me amount dale like:- 1000, 500,100 jitna bhi diya ho. Uske niche date select kar lijiye ki aapne kab diya hai.
ok-credit-me-money-add-kaise-kare
Iske alava aap chahe to message me notes jod sake hai. Jo ki udhaar lene vale ke paas pahuch jayega. Entry complete hone ke baad right ke symbol par click kar Ok kar dijiye.
  • Ab aap dekh sakte hai ki selected contact number ke vyakti ke account me 500 Rs. due add kar diya gaya hai. Aur us vyakti ke paas payment baki ka message bhi pahcuh chuka hai.
ok-credit-me-paise-udhar-liye-hai
Ab in future jab kabhi bhi yah vyakti aapko return payment karega to aapko payment liya par click kar payment Rs. add kar dena hai. Jisse uska payment jama ho jayega. Jaruri nahi hai ki vo pura payment ek saath jama kare esliye aap tukdo me payment ki entry kar sakte hai.

Is tarike se aap Customer jodein button par click karke udhar lene aur dene vale vyaktiyo ke liye account manage kar sakte hai. Ab agar aap janna chahte hai ki mere account me Total kitna paisa hai yani ki logo ko udhar diya hua hai to iske liye Left side 3 line button par click kare yaha par Account me jaye. Ab aap dekh sakte hai ki kitne Customers se aapko kitna payment lena hai. 
ok-credit-account-status
Agar aapne Advance jama kar rakha hai to Advance payment show hoga. Iske baad agar aap apne isi Udhari khata:- Ok credit App ka account statement dekhna aur download karna chahte hai. To yaha se dekh sakte hai.

Apne is OK Credit app ki security dene ke liye Security me jakar iske liye Pin/Password bhi set kar sakte hai. Agar aap due ya advance payment ki receipt Whatsapp send karna chahte hai to us entry account me jakar Bheje button se Whatsapp par share kar sakte hai.

Summary
 
I hope guys aapko mere OK Credit App se Udhari len-den kaise karte hai samjh me aaya hoga. Agar aapko hamari yah post pasand aayi hai to hume comment kar jarur bataye. Agar aap Ok credit udhar khata App ki tarah aur bhi Apps ke bare janna chahte hai to hume comment kar bataye.

Show comments
Hide comments

2 comments:

  1. Sir ok credit ka password bhul geay keysa kulga help me sir please

    ReplyDelete
    Replies
    1. App uninstall karke phir se login kijiye aur login karte time forgot password kar dijiyega.

      Delete

Apna Comment Kare