Shareit WeMedia se Paise kaise kamaye jate hai?

Kya aap bhi ghar bethe apne mobile se paise kamana chahte hai. Agar ha to aaj ki yah post aapke liye bahut hi useful hone vali hai. Kyonki aaj ki is post me hum aapko Share it WeMedia se paise kamana sikhane vale hai. Iske pahle bhi humne website par paise kamane vale App aur websites ke bare me bata chuke hai.
share-it-we-media-se-paise-kaise-kamaye
Lekin aaj hum jis website ke bare me batane vale hai. Us website par kaam karne me aapko maja bhi aayega aur boar feel bhi nahi hoga. Jisse aapka kaam karne me man laga rahega. Dosto ab baat yah aati hai ki is kaam ko kaise karte hai? Aur ise hum ghar bethe mobile se kaise kar sakte hai yah janne ke liye aapko hamari is post ko pura padhna hoga uske baad hi aap ise samjh payenge. To Chaliye dosto ab jante hai ki Share it Wemedia se paise kaise kamate hai?

Share it We Media se Paise kaise kamaye?

Dosto share it par kaam karna bahut hi aasan hai aur jesa ki abhi maine upar aapko bataya ki is par kaam karne me aapko maja esliye aayega kyonki isme aapko Videos upload karna hai. Jese ki hum YouTube par karte hai. Lekin YouTube par videos upload karne ke hume paise nahi milte hai. Aur Agar hum YouTube se paise kamana chahte hai to Account/channel par Adsense approve karvana padta hai. Uske baad me aap Video se earning kar pate hai. Lekin Shareit WeMedia se hum instant approval lekar Share it wemedia se money earn kar sakte hai.

Iske liye hamari niche batayi steps ko follow karna start kar dijiye.

STEPS:-

STEP :-1  Sabse pahle aapko Shareit Wemedia ki website par account banana hoga. Iske liye niche di gayi link par click karke Signup page par chale jaiye.

STEP :-2  Sign up page jane ke baad pahle box me apna Email address aur dusre box me account ke liye password aur third box me same password dal kar Password confirm kare. Aur last me SignUp button par click kar dijiye.
share-it-wemedia-se-paise-kaise-kamaye
STEP :-3  Ab Submit kiye gaye Email address par ek Activation link aayega. Esliye apna email account open kare aur us link par click karke Account activation ki process ko aage badhaye..
we-media-account-activation-link
Agar aapko link receive nahi hua hai to Resend activation link par click kar dijiye.

STEP :-4  Activation link confirm hone ke baad Share It WeMedia par account ban jayega.  Aur usi link se aap DashBoard par redirect ho jaoge.

STEP :-5  Ab Prefect information vale page me apni puri details fill karna hai. Jaise:- Nickaname, Description, Icon, Field, Certification Material, Social media profile link etc. Aur sabhi details dalne ke baad Submit par click kar sakte hai.
Jab aap apni puri details Fill and Submit kar denge to 1-3 working days me aapke account ko Review kar liya jayega. Aur phir WeMedia account activate kar diya jayega. 
Account activate hone ke baad aap Video upload karna start kar sakte hai.

We Media Share it par Video Kaise Upload karte hai?

Account me login karne ke baad Right hand side ke Sidebar me Post option milega. Yaha se aap Share it We Media par Size- 2GB, Quality- 720P tak ki video ek bar me upload kar sakte hai. Upload karne ke baad me vo video search me bhi aa sake. Iske liye aapko us video ka Proper SEO karna hoga. Yani ki Video ka Title, Description, Tags, Cover, Language add karna hoga. Ab kis box me kya fill karna hai iske liye niche detail me padhe.

 1.  Title:- Isme aapko video ka Title dalna hai. Jesa ki aap Youtube ki kisi bhi video par dekhte hai. Yani ki us video ka name likhe.

 2.  Description:- Isme aapko Video ke bare me likhna hai ki Video kis bare me hai.

 3.  Tags:- Tags me un sabhi keywords ko shamil kare jinhe user alag-alga names se search karte hai.

 4.  Cover:- Iska matlab Thumbnail hota hai. Video ke prview ya Icon ko set karne ke liye Video ka cover bhi upload kare.

 5.  Language:- Yaha par aapko video kis language me hai iske bare me batana hai.

Wemedia Share It se Paise kaise aayega? WeMedia payment Method

Dosto, Account/wallet me payment credit karne me isme koi problem nahi aati hai. Kyonki yah hume paymet ke 2-3 option provide karta hai.

1. Paytm account/Paytm wallet me paise (Rs) transfer karva sakte hai.

2. Benificiary Acocount add karke bhi direct account me deposit karva sakte hai.

Jab kabhi bhi aapko Share it we media se money chahiye tab Earning section me jakar Payment request submit kar sakte hai. Working days ke kuch hi dino me aapke account me payment transfer kar diya jayega.

I hope guys ab aapko detail se pata chal gaya hoga ki Share it We Media se paise kaise kamate hai. Aur is par account kaise banate hai. Agar aapko isse related koi question hai to hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare