Android ke System App hataye/Delete kaise kare?

Kya aapka mobile slow chal raha hai jisse aapko kisi bhi Android application ko open karne me problem aa rahi hai. Kyonki aapke phone me free storage nahi hai ya phir Apps me hi full memory use ho rahi hai. To iske liye aapko mobile ke unused Apps yani ki System Apps ko Delete kar dena chahiye.
android-mobile-app-delete-kaise-kare
System  App delete kar dene se aapke phone me space bhi badh jayegi aur phone ko memory (RAM) bhi mil jayegi. System apps ko uninstall karne ke baad aap play store se new apps ko download bhi kar payenge. Aur phone me bhi koi problem nahi aayegi.

System Apps kya hote hai?

Mobile companies apne mobile me kisi bhi Application ka promotion karne ke liye us App ko apni memory me fix kar deti hai. Jise hum normal App ki tarah uninstall nahi kar sakte hai. Jinhe hum System Apps kahte hai.

In Apps me Amazon, Flipkart etc jaise Apps bhi ho sakte hai. Mobile me yah Pre installed Apps dene par mobile companies ko iska paisa milta hai. Lekin aage chal kar yah user ke liye problematic ho sakta hai. Jisme phone hang hona, New Apps install nahi hona, Full memory usage hone jaise problem hone lagti hai. Agar aap is problem se bachna chahte hai to hamari is post ko pura padhe. Kyonki hume yaha par System apps ko Delete karne ki puri process batayi hai.

System Apps Delete/Uninstall kaise karte hai?

Friends system apps ko delete kaise kare janne ke pahle aapka mobile Root hona chahiye. Agar aapka phone root nahi hai to aap iski process follow nahi kar sakte hai. Root kaise karte hai janne ke liye aap YouTube par video dekh sakte hai.

1. Apne mobile me sabse pahle niche di gayi link se King Super Su App download kar lijiye.


Download hone ke baad jab aap ise open karnege to aapse Permission mangega tab install par click kar dijiye.
Application install karne ke baad ise open kar lijiye. Open karne par aap dekh sakte hai ki aapko 3 Tab dikhai de rahi hogi- #, Delete icon, windows icon.
In steps ko follow karne ke liye aapka Mobile Rooted hona chahiye.
2. Ab aapko Delete icon par click karke iski tab me jana hai.

3. Delete tab me aane par abhi aap User Application section me hai. Chunki yaha par hum system apps hatana chahte hai esliye System Application section par click kar denge.
4. Ab yaha par mobile me pahle se installed sabhi App yani ki system apps ki puri list open ho jayegi. Simply aap jis bhi App ko delete karna chahte hai uske Us App ke name ke pichhe dikh rahe Delete icon par click kar dijiye.

Yeh bhi padhe:-
Jisse aapke samne ek notice aayega Notify kiya jayega ki in Applications ko delete karne par phone me problem aa sakti hai. Agar aap phir bhi system app hatana chahte hai. To Yes kare.

Agar aapka phone rooted hai to aage ki process complete ho payegi. Otherwise yah process yahi par ruk jayegi kyonki normal mode me phone hume system apps delete karne ki permission nahi deta hai. Friends agar aapko hamari yah post useful lagi hai to hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare