Whatsapp me Custom Ringtone Setting/Use Kaise Kare?

Aap Whatsapp to use karte hi honge kyonki aaj ke time par messaging karne ke liye yah sabse popular hai. Aur whatsapp me aapke pas bahut sare messages bhi aate honge aur har bar aapka phone notification deta hoga yani ki message aane par Whatsapp message ringtone aati hogi. Lekin isme aapko yah pata nahi chal pata hai ki message group me aaya hai ya phir Personal. Agar aap is confusion ko dur karna chahte hai to aapko Whatsapp custom ringtone set karna chahiye.
whatsapp-custom-ringtone-kaise-set-kare
Ab aap yah soch rahe honge ki yah kya hota hai Whatsapp custom ringtone set kaise karte hai aur iske kya fayde hai to aapko chinta karne ki koi jarurat nahi hai. Is post me hum aapko is setting ko karne se related puri jankari dene vale hai. Jimse aapko is setting ko activate karne se lekar Deactivate karne tak ki puri jankari di jayegi. Lekin is setting ko on karne ke pahle iske bare me in short thoda sa jan lijiye.

Whatsapp Custom Ringtone Kya hota hai?

Custom ringtone yani ki apni choice ka ringtone rakhna ya set karna. Jis tarah hum apne mobile par aane vali har kisi call ke liye different ringtone set kar sakte hai thik usi tarah se hum whatsapp me bhi group, Personal message ke liye different message set kar sakte hai. Whatsapp custom ringtone setting karne ka yah fayda hai ki ringtone set karne ke baad hume sirf ringtone sound sun ke hi pata chal jata hai ki kiska messaage aaya hai. Group me message aaya hai ya phir personal message aaya hai.

Ab dosto hum ise set karna yani ki chalu karna sikh lete hai.

Whatsapp Custom Ringtone Kaise Set kare?

Dosto is setting :- Whatsapp custom ringtone setting karna ke pahle hamare mobile me Whatsapp Messenger App install hona chahiye. Agar aapke mobile me install nahi hai to aaj hi ise Play store se download karna sikhe. Aur agar aap GB Whatsapp Up to date karna chahte hai yah post bhi padh sakte hai.

STEP :-1  Sabse pahle mobile me Whatsapp open kare. App open karne par dekh sakte hai ki yaha par group aur personal message hai. Maan lijiye ki yaha par aap personal message ke liye whatsapp custom ringtone use karna chahte hai.

STEP :-2  Personal message ke liye custom ringtone set karne ke liye us contact ko select kare jiske liye aap ise activate karna chahte hai.
whatsapp-chat-open-kare
Yaha par maine apne friends ke contact ke liye custom ringtone set karna chahta hu.

STEP :-3  Contact select karne ke baad ab uske Chat name par click kare. Aur niche ki side scroll kare.
whatsapp-custom-notification-khole
Yaha par aapko Custom notification ka option milega is par click kar dijiye.

STEP :-4  Ab aap us Contact ki notification setting me pahuch chuke hai. Chunki ab hume song/ringtone set karna chahte hai iske liye Use Custom notification button par click karenge.
whatsapp-message-notification-chage-set-kaise-kare
STEP :-5  Niche Message notification me aap dekh sakte hai ki Notification tone me Default Ringtone set hai ab hume is change karna hai esliye iske upar click kar dijiye.

Us par click kar dene se All notification sound list open ho jayegi. Aap one by one sun karke check kar sakte hai aur Apply kar sakte hai is list me se kisi bhi sound ke pasand aane par uske name par click kar dijiye aur OK kar dijiye.

Ab aapne whatsapp custom ringtone set kar liya hai. Ab agar mujhe is number se kabhi bhi message aayega to custom ringtone hi sunai degi. To dekha dosto is tarike se aap Personal chat ke liye whatsapp custom ringtone set karna sikh sakte hai. Ab hume dekhte hai ki ise hum Groups me kaise set kar sakte hai.

Whatsapp Group Custom Ringtone Setting Karna sikhe

Abhi upar humne dekha ki hum chat par click karke ringtone setting change kar sakte hai. Lekin agar aap isi tarah se whatsapp group ringtone setting change karna chahenge to yah nahi ho payega. Iske liye aapko niche batayi gayi steps ko hi follow karna padega.

STEP :-1  Sabse pahle Right hand side dikh rahe 3 dots par click kare jisse option open ho jayenge.
whatsapp-3-dots-open-kare
STEP :-2  Ab isme aapko Settings par click kar dena hai.

STEP :-3  Yaha par dekh sakte hai ki whatsapp ki sabhi settings open ho chuki hai. Chunki abhi hum yaha par ringtone change karna chahte hai esliye notification settings par click karenge.
whatsapp-settings-open-kare
STEP :-4  Ab Messages aur Groups dono ke notification list hai. Yaha par hume Groups section me notification tone par click kar dena hai.
whatsapp-group-ringtone-notification-change-kare
Yaha se aap Audion manager, record ya gallery se bhi audion select kar sakte hai. List se name select and Ok karne ke baad se ab agar kabhi bhi groups me koi message aayega to aapko selected yani ki whatsapp custom notification sunai degi. Agar aap chahe to whatsapp incoming call ke liye Vibrate ko Off, Short ya phir long par set kar sakte hai.

WhatsApp Call Ringtone Change/Set kaise kare?

Jab hume phone par call aata hai tab aur jab koi hume whatsapp call karta hai tab by default hume dono par ek jesi ringtone sunai deti hai. Jisse hume yah pata nahi chal pata hai ki hume konsa call aa raha hai main phone call ya phir whatsapp call. Aur agar aap is confusion ko dur karna chahte hai to iska yahi tarika hai ki aap apne whatsapp call ringtone setting ko change kar dijiye.

Jiske baad se aapko dono calls par alag ringtone sunai degi. Agar aapke mobile par call nahi aa raha hai to hamari is post ko padh kar iska solution jaan sakte hai.

STEP :-1  Upar batayi Group notification change karna ki steps 3 tak same steps ko foll ow kare uske baad me niche ki second steps ko follow kare.

STEP :-2  Notification setting me jane par niche ki side drage kare aur Call section me jaye yaha par ringtone ka option dikhai dega is par click kare aur apni pasand ki ringtone select kar lijiye jisse aapke whatsapp ki call ringtone change ho jayegi.
whatsapp-ki-call-ringtone-change-kaise-kare
Ab agar aapko koi main call karega tab aur whatsapp call karega tab dono ke liye different ringtone/notification sunai degi. Thik isi tarah se agar aap chahe to kisi ek chat contact ke liye bhi Wp call ringtone change kar sakte hai.

I hope guys hamari upar batayi in steps ko follow karke whatsapp me custom ringtone setting karna sikh chuke honge. Agar aapko upar batayi kisi bhi steps ko follow karne me problem hai to hume comment kar jarur bataye ya humne contact kare.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare