Bina Password Mobile me Wifi kaise Connect karte hai?

Hey guys kya aap apne Computer, Jio phone ya mobile me wifi connect karna sikhna chah rahe hai. Taki aap ise connect karke internet chala sake. To aap bilkul sahi post padh rahe hai. Kyonki is post me hum aapko ek mobile ka internet data dusre mobile ke saath share karke mobile me internet kaise chalate hai sikhane vale hai.

Aap Wifi ke bare me to jarur jante honge ki yah ek tarah ki waves hoti hai. Jise connect karke hum Mobile, Computer, Phone me internet chala pate hai. Iska Wifi ka pura name Wireless Fidebilty hota hai. Wifi chalane ke liye sabse pahle hamare pas WiFi generator device aur ise connect karne ke liye device (Pc/laptop, Mobile) hona chahiye. Taki ek device se Wifi signal create ho aur dusre me Wifi connect kiya ja sake.
android-mobile-me-wifi-connect-kaise-kare
Maan lijiye ki aapke kisi dusre mobile ya phir friend ke mobile me Internet data hai aur aap us internet data ko share karke dusre mobile me wifi connect karna chahte hai. To iske liye sabse pahle aapko jis device me internet data present hai use hotspot banana hoga. Aur phir aap dusre mobile me device connect kar payenge. Niche humne detail se iske bare me bataya hai.

Android Mobile me Wifi Connect kaise kare?

Dosto jesa ki maine upar aapko bataya ki mobile me wifi connect karne ke liye aapke pas ek hotspot hona chahiye. Jise aap connect kar sake aur phir WiFi ke through internet chala sake. Yaha par hum man lete hai ki mere paas ek Note4 mobile hai jise mai hotspot banana chahta hu aur dusra mobile Oppo F7 hai jisme mai WiFi connect karna chahta hu. aur phir internet chalaunga, Ab ise detail se janne ke liye niche steps ko padhe.

1. To iske liye aapko sabse pahle Note 4 mobile ki Settings me jana hoga. Yaha par Personal hotspot open karke Hotspot ko On kar dijiye. Post:- Jio phone me hotspot chalu kaise kare?
mi-note4-me-hotspot-chalu-kaise-kare
By default ho sakta hai ki Hotspot par koi security nahi ho. Esliye Setup Portable section me jaye aur apne Hotspot ke liye Password set kare taki koi bhi aapke Mobile me Wifi ko connect nahi kar paye. Sirf jiske pass password hai vo hi connect kar paye.

2. Note 4 me Hotspot On  karne ke baad jis bhi mobile (Oppo F7) me wifi connect karna chahte hai. Uski Mobile ki settings me jaye aur Wifi settings me jaye aur Wifi ko On kare. Wifi on karne ke baad ab F7 ke near jitne bhi hotspot device/network available honge unke name niche show honge. Chunki humne abhi Note4 ko hotspot banaya hai esliye hume iska name niche show hoga.
oppo-f7-me-hotspot-wifi-connect-kare
3. Simply jis bhi wifi ko connect karna chahte hai use click kar dijiye aur Wifi ka Password dale aur phir Connect par click kar dijiye.

Ab aap dekh sakte hai ki connected WiFi name ke niche Connected likha show ho raha hoga. Yani ki hamare Note 4 mobile hotspot ke rup me F7 mobile me wifi connect ho chuka hai. Ab aap internet chala sakte hai aur mobile me kisi bhi App ya file ko download, Whatsapp update etc. kar sakte hai.

Laptop, Jio Phone me WiFi Connect kaise kare?

Laptop:- 

Friends laptop me WiFi connect karna bahut hi aasan hai simply aapko Wifi ke icon par click karna hai. Ab nearly available device ke name show honge. Us par click kar Password dalkar Connect kar dijiye.
laptop-me-wifi-connect-kare
 Jab laptop me internet connect ho jayega to vaha par Disconnected ka icon remove ho jayega aur Network show hone lagega.

Jio Phone:-

Dosto Jio phone me Wifi connect karna bhi bahut hi aasan hai. Vese maximum time ise hotspot bananya jata hai aur phir dusre device me data share kiya jata hai. Lekin aap Jio phone me wifi connect karna chahte hai.
jio-phone-ka-wifi-connect-kaise-kare
To iske liye aapko Setting me jana hai. Wifi option me jaye nearly hotspot ke name par click kare aur phir Password enter karke Jio phone/mobile meWifi connect kar lijiye. Details se padhne ke liye post padhe. aur Jio phone me Rigntone set karna sikhe.

Summary:-

 I hope guys is post ko padhne ke baad aapko kisi bhi device like - Laptop, Jio Phone, Mobile me Wifi connect karna samjh me aa gaya hoga. Agar aapko abhi Wifi connect nahi ho raha hai jaisi problem aa rahi hai to hume comment kar jarur bataye. Saath hi usme kya error message show ho raha hai yah bhi jarur bataye. Last me friends bas itna hi kahna chahta hu ki agar aapko hamara article pasand aaya hai to hamare post ko share kare aur isi tarah ke new post notifications ke liye Email Subscribe kare.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare