Unknown Facebook (FB) ID Kaise Block kare?

Hey friends, Aapko yah to pata hi hai ki social media sites me Facebook first number par hai. Kyonki isme Billions user hai jo ki daily apne Photos, Video, Story share karte hai. Aur friends add karte hai. Kuch log apni friends list ko badhane ke liye friend add karte hai to koi kisi ko pareshan karne ke liye bar-bar friend request send karta hai. Agar aapke saath bhi yahi situation ban rahi hai to aapko uski Facebook Id block kar dena chahiye taki phir kabhi uski Fb id se request nahi aayegi.

Life me yah situation har kisi ke saath kabhi na kabhi jarur hoti hai ki koi vyakti unhe bar-bar request send karta hai aur unnecessary message send karta hai. Aur oose ignore karne ki koshish karte hai aur maximum time esi situation Girls ke saath jarur hoti hai. Jab unhe koi ladka bar-bar message, Friends request send karta hai.
koi-bhi-fb-id-block-kaise-kare
Aur ab aap is situation se pareshan ho chuke hai to aapko request or message karne vale vyakti ki Fb id block karna chahiye.

Facebook ID ko Block kaise karte hai?

Agar aap bhi apne kisi friend ya unknown person ki fb id block karna  chahte hai. To humne yaha par iski full details batayi hai. Aur ise karne ke liye humne 2 tarike bataye hai. Pahla to Facebook App ki help se, Aur dusra Web browser ki help se.

1. Facebook App me Fb Id Block karna sikhe

STEP :-1  Sabse pahle to apne Facebook App me jaye Right side ke 3 line par click kare. Aur Friends me jaye.

facebook-more-button-open-kare
STEP :-2  Friends me jane ke baad aapko down side scroll kanra hai aur All friends par click kar dena hai.

facebook-all-friends-dekhe

STEP :-3  Ab hum jis bhi vyakti ko block karna chahte hai use search kar sakte hai ya chahe to list me one by one dekh sakte hai. Jab aapko vo profile mil jaye jiski fb id block karna chahte hai tab uski profile par click kar dijiye.
profile-select-kijiye

Click karne se us friends ki full profile open ho jayegi. Ab profile ke niche dikh rahe More button par click kare.
profile-me-jakar-block-button-kare
More par click karne par aapko Block button bhi show hoga is par click kar dijiye.

Yeh bhi padhe:-
Ab Fb aapse confirm karna chahta hai ki Really, Kya aap is vyakti ko block karna chahte hai. Ha hum karna chahte hai esliye apna facebook id password enter kare aur Block par click kar dijiye. Esa karne ke baad ab vo vyakti kabhi bhi aapko message, Call, Tag kuch bhi nahi kar sakta hai.

2. Browser se Facebook Id kaise Block karna sikhe

Yah method Mobile browser aur Pc me fb use karne valo ke liye best hai. Kyonki browser version me hume all options and settings milti hai. Aur Facebook aap ko install bhi nahi karna padta hai.

STEP :-1  Sabse pahle Web browser me jaye aur Facebook id login kar lijiye.

STEP :-2  Log In karne ke baad ab oos vyakti ki profile par chale jaiye jiski fb id block karna chahte hai. Agar aap friend list se kisi ko block karna chahte hai. To aapko sabse pahle Profile button par click karna hoga. Jaha par Friends button show hoga is par click kar dijiye.
facebook-profile-me-jaye

STEP :-3  Ab friends list open ho chuki hai. Isme se us vyakti ki profile name par click kar dijiye jise aap Block karna chahte hai.
fb-id-block-karne-ke-liye-profile-more-ko-open-kare
STEP :-4  Ab yaha par More name se button show hoga is par click kar dijiye. Yaha par aapko simply Block this person button par click kar dena hai. Facebook aapse confirmation ke liye kahega tab Block select karke confirm kar dijiye.
fb-id-ko-block-kare
Jise aap block karna chahte hai vo aapki friends list me nahi balki uski request aayi hai to aapko Friends tab me jana hai. Yaha par sabhi fb friends request dikh jayegi. Inme se jis bhi vyakti ko block karna hai uski Profile>View Profile>More par click kare.

Ab Block this person par click kar dijiye jisse vo vyakti ab kabhi bhi aapko friends request send nahi kar payega. Aur naa hi kabhi vo aapko suggestion me show hoga.

Blocked huyi Fb ID Unblock kaise kare?

Friends, Yaha par Fb id unblock karni ki steps humne Fb App ke liye batayi hai.

1. App me aap dekh sakte hai ki Right hand side me 3 lines (Menu option) diya hua hai is par click kar dijiye.

2. Menu me jane ke baad Account Setting me jaye aur phir Blocking option me jaye.

3. Yaha par aap dekh payenge ki jin kisi bhi people ki fb id block ki huyi hai unke name yaha par dikhai denge. Aur  uske pichhe Unblock button bhi dikhai dega is par click kar dijiye.

Unblock par click karne ke baad fb dvara aapse confirm kiya jayega ki kya such me fb id unblock karna chahte hai. To phir se Unblock par click kare.

I hope guys ab aapko pata chal gaya hoga ki kis tarike se hum kisi bhi vyakti ki fb id block kar sakte hai. Aur jarurat padne par phir se kaise fb id unblock kar sakte hai. Agar aapko kisi bhi steps ko follow karne me problem hai to hume contact kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare