Facebook Id se Mobile Number kaise hataye?

Friends aap facebook to use karte hi honge aur account banate time aapne fb account me mobile number add kar diye the. Lekin ab yah aapke liye problematic ho raha hai kyonki ab number Profile par show ho raha hai. Jiske baad se koi bhi vyakti aapko Call, Message kar raha hai. Lekin ab aap apni Facebook id se number hatana chahte hai. Taki number aur logo tak share nahi ho.

Esa jaruri nahi hai ki aapko call ya message aa rahe hai sirf esliye aap fb se number delete kar rahe hai. Balki kuch log apni marji se facebook profile par number show karte hai aur agar vo bhi facebook profile par number update karna chahte hai. To niche batayi gayi process ko follow kar sakte hai.
facebook-id-se-number-kaise-hataye

Facebook se Number hataye or Delete kare?

Facebook profile par number show hone ke karan aapko log pareshan kar rahe hai. Aur ab aap Facebook se number hatana chahte hai to sabse pahle apne mobile me Fb Application ko open kar ljiye.

Step-:1 Ab apne Id & Password se login kar lijiye.
Step-:2 Login karne ke baad right hand side me aapko 3 lines(Menu button) show hoga is par click kar dijiye.
fb-profile-edit-kare
Phir niche ki side scroll kare See Your about info ko click kare.

Step-:3 Yaha par Contact info section me number ke upar dikh rahe hai Edit button par click kare.
contact-info-ko-edit-karna-hai
Step-:4 Abhi aap edit profile page par hai lekin yaha se aap mobile number delete nahi kar sakte hai. Iske liye aapko ab Remove mobile phones in account setting par click kare.
remove-mobile-phone-in-account-setting
Step-:5 Ab phir se ek new page open hoga jisme Current phone numbers dekh sakte hai jo ki aapki profile par show hota hai. Chunki hum profile se number hatana chahte hai esliye Remove button par click karenge.
fb-se-current-phone-number-remove-kare
Step-:6 New page me aap dekh sakte hai ki Remove button to show ho raha hai. Lekin uske upar box me aapko apne Fb id password dalna hoga aur phir remove button par jana hai. Agar password dal kar confirm nahi karte  hai to mobile number remove nahi ho payega.
fb-id-se-mobile-number-remove-kaise-kare
Agar password correct hai to at the time aapke facebook se number hata diya jayega. Aap chahe to apni profile par jakar check kar sakte hai. Vaha par number show nahi hoga.

Jio phone me Facebook se number kaise hataye?

Hum yaha par Jio phone ke liye bhi yah steps bata rahe hai. Kyonki aaj ke time par Jio phone bhi popular keypad phone hai. Aur bahut sare users Jio phone me fb se number hatana chahte hai. Iske liye humne kuch steps batayi hai.

Yeh bhi padhe:-
1. Sabse pahle Menu button press kare aur Facebook App ya Browser open kare, Jiska use aap Jio phone me facebook chalane ke liye karte hai.

2. Agar aap Browser ka use karte hai to firstly app open karne ke baad Facebook ki website par jaye. Apne Id-Password se login kare aur uske baad upar batayi step2 se follow karna start kar dijiye.

Jab aap Facebook password Enter karke confirm kar denge to phir Jio phone me Facebook se number hata diya jayega.

I hope guys aapko detail se samjh aa gaya hoga ki hum kitni aasani se Facebook se number delete kar sakte hai. Agar aapko fb se number hatana ki process me koi problem face karna pad rahi hai to hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare