Vyapar App se Mobile me GST Bill kaise banaye?

Hey guys kya aap apne business ko new look dena chahte hai vo bhi mobile se to Vyapar App isme aapki help karega. Kyonki yah App hume mobile me GST bill banane ki facility deta hai. Jisse hamara kaam aur bhi aasan ban jata hai. Agar aap ek vyapari hai to yah Application aapko bahut useful lagega kyonki aaj ke time par hume bill GST me bana kar dene  padte hai.
vyapar-app-mobile-me-gst-bill-kaise-banaye
Yani ki hume har bar computer me Paperless bill banana padte hai. Aur iske liye hume computer/laptop ki jarurat padti hai lekin Vyapar App ek android mobile based android app hai jise hum mobile me chala kar apne GST bill bana sakte hai. Jisse hamara kaam aur bhi aasan ban jata hai. Agar aap bhi isme janna chahte hai ki Vyapar app me Bill kaise banate hai to is post ko pura jarur padhe. Agar aap computer se Excel me bill kaise banate hai janna chahte hai to is post ko padh sakte hai.

Vyapar Ka GST Bill banana sikhe

Jab aap Vyapar App ko use karenge to aapko pata chalega ki yah Vyapar use karna bahut hi easy hai. Hume isme kisi tarah ki koi special GST calculation nahi karna padti hai. Balki directly hum product par kitna GST charge karna chahte hai select karna hota hai uske baad automatically product ki price+GST ka bill ban kar ready ho jata hai. Ab jante hai ki Vayapar par account kaise banaye aur ise use kaise kare?

STEP :-1  Sabse pahle Play Store se is Vyapar App Download kar lijiye. Aur apne mobile me install kar lijiye.


Aap chahe to iska Desktop version bhi download and use kar sakte hai.

STEP :-2  Ab is Application ko open kar lijiye tab sabse pahle aapko is par apna mobile number enter karna hoga. Number dale aur Get OTP button ko click kar dijiye. Aap chahe to Google account se bhi Sign in kar sakte hai.
vyapar-app-par-account-kaise-banaye
STEP :-3  Enter kiye gaye number par OTP aayega jise aapko submit karna hai. Agar enter kiya gaya number aapke phone me hi to App automatically use find kar lega. OTP verify karne ke baad aap Aapka account ban jayega.

Vyapar App kaise Use kare?

Account bante hi aap dekh sakte hai ki Vyapar GST Bill Samples show honge. Ab hume + Add Sale Invoice par click kar dena hai.
vyapar-app-par-gst-bill-kaise-banaye
Abhi hamai Entry Sale invoice me ho rahi hai. Yani ki agar humne koi product sale kiya hai to uska GST bill banega. Iske liye hume sabse pahle Customer ka name dalna hoga.
customer-details-dale
Ab hume sale kiye gaye product ki entry batana hogi. Iske liye Add Items par click kar dijiye.
mobile-me-gst-bill-kaise-banaye
Ab isme aapko Product/Service name, Quantity, Rate (Price/Unit) dalna hogi. Yaha humne man liya ki hamari computer shop hai jaha se humne kisi user ko 3 Keyboard sale kiye hai. Jiski Price 250Rs/keyboard hai. Image me aap dekh sakte hai ki niche iska SubTotal ready hai. Ab hume simply Tax/GST % select karna hai. Jese hi aap GST select karenge us product ki Total Amount show hone lag jayegi. Aur phir Save kar dijiye.
mobile-gst-billing-application-hindi
Ab aap chahe to Bill ke saath me kisi tarah ka Description add kar sakte hai. Aur chahe to sale kiye gaye Product ki image bhi attach kar sakte hai. Aur phir Save kar dijiye.
mobile-se-gst-ready-bill-kaise-banaye
 Ab aap dekh sakte hai ki Bill preview ready hai. Ab yaha se hume Apni Company/Shop, logo, Terms and Conditions set edit & set kar sakte hai.

Vyapar App se Payment Kaise Accept kare?

Agar aap Sale kiye gaye product ka amount UPI ke through receive karna chahte hai. Collect Payment button se esa kar sakte hai. Iske liye bas aapko Bank Account number, IFSC code ki jarurat padegi. Jiske baad aapke Vyapar App GST Bill me Qr code upload kar diya jayega. Jisse koi bhi user directly bill ke Qr code ko Scan karke aapko directly account me payment send kar sakta hai.

Jab pura bill ban ready ho jaye to aap ise mobile se hi print de sakte hai. Agar aapko is bare me koi jankari nahi hai to Mobile se print kaise kare jarur jane. Taki bina laptopy/computer ke print kar sake. Friends, Agar aapko Vyapar App se GST Bill banane me problem hai to hume comment kar jarur bataye.

Tags :-    mobile me gst bill kaise banaye, vypar app download kaise kare, Mobile gst billing App,

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare