Banner/Poster banane wala Apps Download & use kaise kare?

Friends, Hum india me rahte hai aur yaha par aaye din koi na koi new tyohar (celebration) aata rahta hai. Aur har tyohar ki wishes dene ke liye hum message send karte hai. Lekin ab trend change ho chuka hai. Ab vyakti sirf message send nahi karna chahta hai. Balki apne mobile me Poster banane wala app download and use karna chahta hai. Taki sabhi contacts ko Christmas, New year banner bana kar send kar sake.

 Lekin aap abhi bhi wishes send karne ke liye Text message or whatsapp message ka use karte the. Aur mobile se poster kaise banaye ke bare me koi jankari nahi thi. To hum yaha par iski puri detail share karne vale hai. Taki aap bhi kisi bhi festival par apne name ka banner poster create kar sake.
banner-poster-banane-wala-app-download-use-kaise-kare
Vese to computer se banner poster banane ke liye Coral Draw, Adobe Photoshop ka use kiya jata tha. Jo ki difficult hote hai yani ki har koi user inhe use nahi kar pata tha. Jise in software ko use karne ke bare me jankari nahi hai to. Kul milakar inhe use karna thoda difficult hota hai. Aur har kisi ke paas computer/laptop to hota hai nahi hai. Jo ki easily computer se banner bana sake.

Ab Android mobile har jagah mil jata hai Android mobile trend me bhi hai. Pahle jo kaam hum system se karte the vo kaam ab hum mobile me bhi kar sakte hai. Yani ki ab hum mobile me banner poster bana sakte hai. Aur iske liye hum kisi special tutorial or guideline ki jarurat bhi nahi padti hai. Simply aap inhe dusre Apps ki tarah use kar sakte hai jese ki dusre Apps ko use karte hai. Agar aap bhi apne festival ko memorable banana chahte hai aur digital tarike se wishes dena chahte hai. To aaj hi mobile me poster banana sikhe.

Mobile me Banner or Poster banane wala Best App konse hai?

Guys Android mobile me Apps download karne ke liye Google ne ek play Store diya hai. Jise hum- Play Store ke name se jante hai. Yaha se hum apne android mobile ke liye Apps download and install kar sakte hai. Play store par bahut saare Application hai jaha se aap Banner Poster banane wala App download kar sakte hai.  Lekin humne aapke liye Top3 Poster banner banane wala App list di hai. Jinhe humne inki rating aur user's feedback ke according sequenced kiya hai.

Yah bhi padhe:-
1. Flyers, Poster Maker, Graphic Design, Banner Maker

Friends, Post banane vala Apps ki top list me humne ise first number diya hai. Flyers App- Ise humne first rank par rakha hai. Kyonki Play store user ne ise 1 Miion+ Downloads ⬇ kiya hai. Aur iski Rating - 4.7⭐ hai. Kyonki isme batter way me poster desing karne ke liye Graphich designs ko bhi add kiya gaya hai. Isme hume 50,000+ free templates milte hai.

Download


2. Poster Maker, Flyer Designer, Ads Page Designer

Kyonki yah App Play store par 1,95,500 Downloads ⬇ hai aur iski Rating - 4.8⭐ hai. Almost sabhi Users ne iska feedback bhi Good diya hai. Iska karan yah hai kyonki yah App easy to use hai. Jise koi new person bhi use kar sakta hai. Aur aasani mobile me banner design & create kar sakta hai. Lekin iske templates paid hai.

Download

3. Canva: Graphic Design, Video, Collage & Logo Maker

Canva App ke downloads aur Rating ki baat ki jaye to. Iski dono hi chije upar ke dono App se jyada hai. Play store par iske 1,850,390 Downloads⬇ and Rating - 4.7 ⭐  hai. Lekin yah App particular poster designing ke liye nahi banaya gaya hai. Balki isme hum Logo bhi design kar sakte hai. Yani ki yah multiple hai par specially banner ke liye nahi hai to humne ise 3 number par rakha hai. Esa nahi hai ki aap ise use nahi kar sakte hai. Aap is Application ko bhi mobile me Poster banane vala App ki tarah use kar sakte hai.
Download

Banner/Poster kaise banaye?

Hum yaha par mobile me Poster banana sikhane ke liye Top first Flyer- Poster  maker App ki help le rahe hai. Kyonki isme 50,000 templates added hai. App open kare, Application open karne par firstly aapse Camera & Storage permission require karega tab Ok kare. Ab App kuch seconds load hoga.

1. Ab yaha par aap dekh sakte hai ki upar trending hash tag show honge. Agar aap inme se kis ko use karna chahte hai to select kar sakte hai. Aur hum isi me se #Happy New Year tag ka use kar rahe hai.
hash-tag-select-kare
2. Dekh sakte hai ki New year ke sabhi designing templates open ho chuke hai. Isme se jo bhi template aapko pasand hai use select kar lijiye.
happy-new-year-template-choose-kare
3. Simply ab jis kisi bhi word ya line ko change karna chahte hai us par double tab kare. Aur word ko change kar dijiye. Aur agar isi poster me kisi tarah ke image ko add karna chahte hai to Galler button se add kar sakte hai. Aur saath hi Stickers, Effects bhi add kar sakte hai.
happy-new-year-template-save-kare
4. Jab aapka poster ready ho jaye tab Save par click kare. Yaha par aapko JPE select kar Save kar dena hai.

Upar humne poster banane wala app ki process batayi hai. Jisme humne Happy New Year poster bananna sikha hai. Templates button par click kare aur yaha se aur bhi template select kar sakte hai. Taki aapko already designed poster mil jayenge. Isme aapko sirf Text/Words ko change karna padega. Iske alava kisi tarah ki mehnat nahi karna padegi.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare