E Kalyan Scholarship Status Check kaise kare?

Hey Students, Kya aap Jharkhand State se hai. Aur apne Scholarship application ka status check karna chahte hai. Agar Yes! to aap bilkul sahi post kar rahe hai. Kyonki is post me hum aapko E kalyan status check karna sikhane vale hai. Taki online scholarship application karne ke baad bhi uski status check kar sake.

Ab aap yah soch rahe honge ki jab humne online apply kar diya. To hume uski E Kalyan scholarship status check karne ki kya jarurat hai? Jab humne apply kar diya yani ki vo Approve ho chuka hai aur hamare Bank account me payment aana start ho jayega. To aap galat soch rahe hai kyonki apply karne ke baad aapka application alag-alag departments me transfer kiya jata hai. 1. Collage department 2. DA Officer 3. DWO Officer 4. AA Officer (Last department).
E-Kalyan-Scholarship-Status-Check-kaise-kare?

Aur kisi bhi department me agar aapke documents me kisi bhi tarah ki kami lagti hai. To aapka Scholarship status pending me ja sakta hai. Esliye aapko apna Ekalyan.cgg.gov.in se Scholarship status check karna aana chahiye. Taki aapko apne application ki status pata chalti rahe. Aur kisi bhi department me pending hone par vaha contact kar apna saval puch sake.

EKalyan Status kaise check kare ke pahle jane

E kalyan kya hai?

"The Welfare Department running various schemes for the welfare of the backward classes and the SC/ST. A step towards achieve speedy, transparent & accountable governance. The system links all welfare departments, treasury, databases of Secondary Schools Certificate (SSC), colleges and banks to disburse scholarships. Processing of students' applications for scholarships, sanctioning and passing of bills for disbursement are enabled in the system."

Students ko education me support karne ke liye Government ne scholarship program ko run kiya. Aur isi ke support se pure desh ke students ko Padhane me financial support aur future banane ki himmat mil rahi hai. Ab Students after 10th class se hi scholarship ke liye apply karne lag jate hai. Schools ki fess tak parents manage kar lete hai. Lekin collage fee me bahut problems aati hai. Esliye collage students Jharkhand scholarship portal par online apply karte hai.

Yeh bhi padhe:-
Taki unhe collage ki fees me thodi relax mil sake. Agar aapne bhi application kiya tha. Aur ab apne Application ka E kalyan status check karna chahte hai. Taki aapko jankari mil sake ki aapka application approve hua hai ya nahi. To niche humne iski steps batayi hai.

EKalyan.Cgg.gov.in se Status check karna sikhe

1. E Kalyan status check karne ke liye sabse pahle Google par jaye aur EKalyan type kar search kare. Yaha par aapko Ekalyan aur iske niche .cgg.gov.in likha show ho raha hoga. Us par click kar dijiye. Taki Jharkhand scholarship portal ya website open ho sake.

2. Website open hone par aap dekh sakte hai ki Menu me Student Login show ho raha hai. Is button par click kar dijiye.
e-kalyan-students-login-kare
3. Student login page me dekh sakte hai ki aapse 3 tarah ki chije puchhi jati hai. Jinke bare me humne detail se bataya hai.
students-login-options
  • Login With:- Aap is portal par kis identity se login karna chahte hai. Name, Email ya phir mobile number se. Mai aapko suggest karunga ki Mobile number select kare. Ise select karne par niche aapko apna mobile number dalna hoga.
  • Password:- Jab aapne Scholarship ke liye apply kiya tha to ek Id password generate hua tha. Vahi Password yaha par dalna hai. 
  • Enter Captcha:- Yah ek verification method hai. Isme aapko niche image me show ho rahe number ko dalna hai.
4. Jab aap Mobile number method select kar lete hai. Aur phir Password enter kar dete hai aur Captcha ko verify kar dete hai to aapko Simply Sign in button par click kar dena hai. Kuch hi seconds me aapka scholarship account login ho jayega.

5. New page ko scroll down kare jaha par aapko Scholarship Application status likha show hoga. Aur usi ke saamne Application status button show ho raha hoga is par click kar dijiye.
e-kalyan-application-status-check-kare
6. Is page me aapko Academic year select karna hai. Maan lijiye ki aapne 2019 me apply kiya hai to 2019-20 select kare.

7. Academic year ka new page open hone par dekh sakte hai ki. Yaha par Status name se ek section hai jaha par aapko apne Scholarship application ki status show ho rahi hogi. Yaha par jis bhi department ka name show hoga aapka document us department hai. Aur Agar E kalyan status AA Officer show ho raha hai. 
scholarship-form-approved-by-AA-officer
To iska matlab yah hai ki aapka document 3 department se verify ho chuka hai. Aur AA Officer ne bhi ise approve kar diya hai. Yani ki ab kuch hi dino me aapke bank account me scholarship amount credit hona start ho jayega. 

Post Summary 

I hope Students, Aapko samjh me aa gaya hoga ki kis tarike se hum apne E Kalyan status check kar sakte hai. Aur apne Student login karke scholarship application status check kar sakte hai. Iske liye sabhi steps ko detail se bataya hai. Agar aapko kisi bhi steps ko follow karne me  koi bhi problem aati hai. To hume comment kar jarur bataye. Taki hum aapki help kar sake. 

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare