Hello App Download karna hai kaise kare? [Full Detail]

Hi friend, Kya aap ek esa Android App search kar rahe hai jo aapko Whatsapp Status share ka feature bhi de aur saath hi Tiktok Video ka bhi. To aap Helo App download kar sakte hai. Hello App ki khas baat yah hai ki isme hume Videos Category wise mil jate hai. Yani ki hume Kisi ek type ki video ko dekhne ke liye sabhi video ko dekhne ki jarurat nahi hai. Balki us category me jakar directly hum us video ko watch, Download and Share kar sakte hai.
hello-app-download-kaise-kare
Hello App ki khas baat yah hai ki isme hum easily kisi bhi Video, Photo ko download and direct share kar sakte hai. Hum App ke andar se hi kisi bhi chij ko directly WhatsApp, Facebook, Instagram par share kar sakte hai. Lekin iski sabse khas baat yah hai ki is Helo App se hum paise bhi kama sakte hai. Iski puri jankari ke liye aapko hamari yah post puri padhna hogi. Jisme humne iski puri details step by step batayi hai.

Helo App kya hai?

Hello App ek Online Video, Images Status sharing App hai. Jo ki user ko simple interface provide karta hai. Jiske karan koi new user bhi ise simply use kar sakta hai.Simple words me kahu to yah Helo App- Discover, Share and Communicate par basis Application hai. Users mobile me Helo App download karte hai aur ise use karte hai. Application user is par apni khud ki video bana kar bhi upload and share kar sakta hai. Jiske return me unhe fame and earnings milti hai.

Yeh bhi padhe:-
Iske karan yah App logo ke biche me bahut popular hai. Aur yahi reason hai ki ise Google Play Store par 11,25,325 times download kiya ja chuka hai. Agar Aapne abhi tak is tarike ke App ka use nahi kiya hai. Aur Helo App download karna chahte hai to hamari is post ko pura jarur padhe. Kyonki is post me aapko Helo App ki puri jankari milne vali hai.

Helo App Download kaise kare?

1. Apne mobile me Play Store ko open kare aur search bar me Helo App type kar search kare.
2. Search karne par dekh sakte hai ki yaha par aapko first number Helo - Discover, Share & Communicate likha show ho raha hoga. Is name par click kar dijiye.


3. Ab aapke saamne Is Application ki puri details open ho chuki hai. Jisme aap dekh sakte hai ki iske kitne downloads hai aur iske users ne ise kitni ratings ⭐ di hai.
helo-app-download-karna-hai-kaise-kare
Yaha par Simply Aapko Install button par click kar dena hai. Jisse kuch hi seconds me Aapke Mobile me Helo App downloading process start ho jayegi. Agar aapke Mobile me Google Play Store ID nahi hai to aap ise install or download nahi kar payenge. Iske liye aaj hi Play store Id banana sikhe.

Sim ki internet connectivity ke according kuch hi time me App download ho jayega. Ab App ise open kar sakte hai. Ab ise use kaise karte hai janne ke liye hamara next Heading jarur padhe.

Hello App par Account/Id kaise banaye?

1. Jab hum Helo App download and Open karte hai to niche taskbar me hum dekh sakte hai. Ki hume User 👤 ka icon show ho raha hoga hume is par click kar dena hai.
profile-par-click-karna-hai
2. Helo App par account banane ke liye hume 5 tarike dikhai dete hai. Agar aapke pas Facebook/ Google/ Twitter, TikTok Id hai to aap uske Id password se bhi directly Helo App  par Signup kar sakte hai.
mobile-number-dale
Lekin agar aap mobile number se Helo App par Id banana chahte hai to simply upar box me apna Mobile number dale aur अगला button par click kare.

3. Ab enter kiye gaye mobile number par ek OTP aayega. Jisme verification code hoga uske code yaha par Submit kare. Agar aapke mobile par OTP nahi aa raha hai to is post ko jarur padhe.

Yeh bhi padhe:-
4. Is step me hume apni Date of Birth batana hai. Aur phir Sign In par click kare.
helo-app-dob-set-kare
5. Last step me hume apna Helo user name dalna hai. Aur पुरुष (Male) or महिला (Female) select kar प्रयास सफल हुआ  par click kar dena hai.
helo-user-id-name-set-kaise-kare
Itni steps follow karne ke baad me Helo App par id ya account ban jayega. Ab aap bhi dusre users ki tarah khud ka Video, Photo share kar sakte hai. Aur apna name, fame, paise kama sakte hai. Ab ise use kaise karte hai jiske chalte aap Helo app se paise kamane vale hai to iske liye next topic padhe.

Helo App kaise use kare?

Account or Id bana lene ke baad ab Aap dekh sakte hai ki. Yaha par bahut saari video show ho rahi hogi. Aap inme se kisi bhi video ko click & open kar sakte hai. Lekin Aap trending video ko dekhna chahte hai to yaha par Popular hashtag bhi show honge. Jaha se aap video ko open kar sakte hai.

Ab agar aap kisi bhi video ko share karna chahte hai to apni pasand ki video ko open kar lijiye. Aur phir Right hand side me sabse upar aapko 3 dots show honge us par click kare.
helo-whatsapp-status-share-kaise-kare
Now dekh sakte hai ki yaha par sabhi social apps ke icon show ho rahe hai. Jis par bhi share karna chahte hai us par click kare. Agar aap Helo ki video ko Whatsapp Status  par share karna chahte hai to Whatsapp icon par click kar dijiye.

I hope guys aap sabhi ko samjh me aa gaya hoga ki kis tarike se hum apne mobile me Helo App download and Helo App update kaise kar sakte hai. Aur guys aap social media use karte hai aur isse paise kamana chahte hai. To Helo App se video upload karke paise kamana bahut hi aasan hai. Bas aapko video upload karte jana hai. Aur share karte jana hai. Jab aap 30+ Video upload kar denge to aapko Verification badge ke liye apply karna hai.



No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare