Airtel Puk Code kaise nikale ya pata kare?

Agar aap airtel user hai aur aapne airtel sim ke liye Code set kiya tha. Lekin ab aapne 3 se jyada bar wrong attempt kar diya hai. To ab Puck Lock lag chuka hai. Ab jab tak aap Airtel puk code enter nahi karenge tab tak sim unlock nahi hogi.

Aap yah to jante hi honge ki aaj ke time par Personal Data ki privacy kitni important hai. Aur sabhi devices me security provide karne ke liye unme Code set kar diye jate hai. Aur agar baat data ki kare to Contact bhi data me hi listed hote hai. Aur aapke Contact aapke liye important hai jise aap kisi aur ke saath share nahi karna chahte hai.
airtel-puk-code-kaise-nikale
Aur contact ki security ke liye hum sim card lock set kar dete hai. Aur jab tak hum Code enter nahi karte hai. Tab tak hamari sim unlock nahi hoti hai. Aur koi bhi dusra vyakti us sim card ko dusre mobile me use nahi kar sakta hai aur naa hi aapke Contacts dekh sakta hai.

Ab aapke man me yah saval aa raha hoga ki sim par lock kaise karte hai to iske liye aap mobile ki settings me jaye vaha par aapko iska option mil jayega jaha se sim lock kar sakte hai.

Puk Code kaise pata kare?

Jesa ki abhi upar bataya ki jab aap airtel sim par security ke liye us par lock lagate hai. Aur jab us Mobile ko restart karte hai ya sim ko kisi dusre mobile me lagate hai to aapse sim code enter karne ke liye kaha jata hai. Aur agar aap 3 se jyada bar wrong code enter kar dete hai to us sim par airtel puk code lag jata hai. 10 bar wrong code enter karne par ho sakta hai ki aapki sim permanent lock ho jaye. Aur phir kabhi aap osse use nahi kar paye. Esliye agar aapne 3 bar try kar liya hai to ab jyada bar try nahi kare.

Yeh bhi padhe:-
Jab tk aap puk code enter nahi karte hai tab tak koi bhi user us sim ko apne mobile me use nahi kar payega. Ab baat yah aati hai ki Airtel Puck code kaise jane? To mai aapko bata du ki Puk code janne ke liye aapke paas 2 tarike hote hai. Pahla to Airtel Customer care se contact karke aur dusra Airtel Store's Postpaid ke paas jakar. Pahla tarika janne ke liye hamari niche batayi steps ko padhna hoga.

Airtel Puk Code kaise nikale?

Tarika:-1
  • Sabse pahle apne Customer care number (198 ya 122)par Call kare.
airtel-puk-code-customer-care-number

  • Aur phir apni Language (भाषा) select kare.
  • Ab customer care ko apni Airtel Puk code ki jarurat bataye. Phir vo aapse confirmation ke liye kuch details puchhega. Jo aapne sim card buy karte time di thi. Like:- Address proof document, Sim card owner Name etc. 
  • Jab aap verified details bata denge Tab vo aapse Airtel sim ke picche printed number ko batane ke liye kahega. Customer card ko vo number bataiye aur kuch hi minutes me vo aapko airtel Puk code de dega.
Jab aapko Customer care se Puk code mil jayega tab vo code sim me enter kare. Aap sim unlock ho jayegi.

Last Word

I hope guys ab aapko pata chal gaya hoga ki kis tarike se aap Puck code nikal sakte hai. Lekin iske baad bhi agar aapko code nikalne me problem aa rahi hai to hume comment kar jarur bataye. Hum aapki help jarur karenge.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare