Mobile se Email (Gmail) ID kaise Delete kare?

Kya Aap android mobile user hai Agar Yes. Tab to aapko isme Gmail's Email Id use karna padti hai. Kyonki Android Operating System Google ka Software hai aur Gmail bhi Google ka hai. Aur agar aap Android ke sabhi features use karna chahte hai. To aapko Gmail ID Login karna bahut jaruri hota hai. Login kaise karte hai is bare me to sabhi jankari hoti hai Lekin agar aap mobile se Email Id delete karna ya Mobile se email id hatana sikhna chahte hai. To humne yaha par iski puri detail di hai.

Friends, Agar aapke paas android mobile hai aur aap isme Google chrome, Play store, Gmail, YouTube ka use karna chahte hai. To aapke mobile me Gmail id login hona bahut jaruri hota hai. Bina gmail id ke hum google ki kisi bhi service ko use nahi kar sakte hai. Esliye hum in sabhi service ko use karne ke liye mobile me gmail id login kar lete hai.
Mobile-se-Email-ID-kaise-Delete-kare?
Lekin sabse badi problem tab aati hai jab hum apne mobile se email id hatana chahte hai. Aur hume is bare me koi jankari nahi hoti hai.

Maan lijiye ki hum apna mobile kisi dusre ko bechna chahte hai. Ya phir current gmail id ko dusri email id se replace karna chahte hai. To iske liye hume sabse pahle mobile se gmail id delete karna padti hai.

Email ID Delete kare ya hataye kaise?

Agar aapko apne mobile ko kisi ko bhi sale karna ya generally bhi Mobile se Email id delete karna sikhana hai. To aapko hamari niche batayi easy steps ko follow karna hoga.

1. Firstly, Android Mobile ke Menu me jaye aur Gmail App ko open kar lijiye.

2. Gmail open hone ke baad aapko Left side me show ho rahe Menu button par click kar dena hai.
gmail-settings-open-kare
Ise scroll down kare yaha par Settings ka option show hoga is par click kar dijiye. Yaha par aap dekh payenge ki mobile me jitni bhi Gmail id login hai show hogi.
3. Ab aapko Right side me show ho rahe 3 dots par click kar dena hai. Is par click karne se Manage accounts ka option show hoga is par click kar dijiye.
gmail-email-id-delte-karne-ke-liye-select-kare
Yaha par aap dekh payenge ki aapke phone ka account aur Google ka option show hoga. Chunki abhi Gmail ki Email id hatana chahte hai to Google ko select karenge.
google-account-select-kare
4. Phir se aap dekh payenge ki mobile me jitni bhi Gmail id login hogi sabhi show hogi. Aap jis kisi bhi Email Id ko mobile se hatana chahte hai to us Id ko select kar lijiye.

5. Ab selected Gmail id ki details khul jayegi. Ab hume simply niche dikh rahe button par click kar dena hai.

select-gmail-id-and-remove

Jaha par hume Remove account ka option milega. Ise click karne se kuch hi seconds me verificaion ke baad mobile se Gmail Id delete ho jayegi.

So is tarike se aap badi hi aasani se Aap Gmail Id ko remove kar sakte hai. Agar phir bhi koi problem hai to hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare