JioPhone me Screen Lock/Password kaise set kare?

Hey Jio User Mai Bishal Bhati aaj phir aap logo ke liye ek Jio phone ki ek aur trick lekar aaya hu. Jisme mai aap logo ko Jio phone lock lagana sikhane vala hu. Aaj ke time par lock laga kar apne mobile ko safe and secure karna bahut hi jaruri hai. Agar aap Jio phone par password nahi lagayenge to koi bhi aapke phone ko open kar lega aur kisi bhi data(Image, Contact, Video) ko chura sakta hai.Esliye aapke data ki security bahut hi jaruri hai.
JioPhone-me-Screen-Lock-Password-kaise-set-kare
Agar aap nahi jante hai ki kis tarike se hum Jio phone par lock lagana sikh sakte hai. To hamari is post ko jarur padhe. Dosto mai aapko bata du ki hum KareKaise.com webiste par Jio phone tricks related post share karte rahte hai. Aur hamari Jio phone wifi hotspot post bahut popular hai. Aur hume aasha hai ki is post ko bhi aap utna hi pasand karenge.

Jio Phone Screen Lock kaise lagaye?

Kisi bhi mobile/phone ko secure karne ke liye us par password/lock lagana bahut jaruri hai. Aaj ke time par hamare pass Pattern lock, Fingerprint, Password/Pin code jesi facility hai. Lekin hamara Jio Phone ek keypad phone hai na ki Touch screen. Esliye hum Jio phone par sirf Lock/Pin lagana hi kar sakte hai. To chaliye dosto jante hai ki hum Jio phone me lock kaise lagate hai?

STEPS:-

1. Sabse pahle aapko Menu button press karek Jio phone Menu Open karna hai.

2. Ab yaha par aapko Settings ka option milega ise Open kar lijiye.

Yeh bhi padhe:-
3. Settings me enter hone par aap dekh payenge ki abhi Aap Network & Connectivity tab me hai. aapko Privacy & Security tab dikhega. Ab aapko Security tab me jana hai. Iske liye aap Left/right button ka use kar sakte hai.
 4. Jab aap Privacy & Security me chale jayenge to aapko first number par Screen Lock option show hoga ise ok kar open kar lijiye.
jio-phone-me-lock-kaise-lagaye
5. Ab aapko 2 option show honge. Screen lock and Change pass code. Chunki abhi hume Jio phone me lock lagana hai to hum 1 option ko select & ok karenge. Jab aap 1 option select kar lenge to aapse On/off pucha jayega. Tab aap On ko ok kare.
JIO-PHONE-PASSWORD-SET-KAISE-KARE

Agar humne password/lock setup kiya hai aur password change karna hai to change pass code ka use karte hai.
6. Yaha par aapko Create a password aur iske box show honge. Yaha hume apne Jio phone ke liye password dalna hai. Aur niche diye box me bhi hume same password enter karna hai. Aur phir Jio button se OK kar dena hai.
jio-phone-password-lock-ok-kare
Agar aap dono box me same password nahi dalte hai to password miss match ho jayega. Esliye aapko dono box me same password enter karna hai. To is tarike se aap Jio phone me Screen lock ya esa kahe ki Jio phone par password lock laga payenge.

Friends agar aapko hamari batayi steps ko follow karne me koi bhi problem aati hai. To hume comment kar jarur bataye. Thank You 😊

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare