YoWhatsApp Download & Update kaise kare? V8.12

YoWhatsApp, Yah ek esa WhatsApp hai jise aaj ke time par logo dvara bahut search kiya ja raha hai. Aur log YoWhatsapp download kar rahe hai. Agar aap ek YoWhatsapp user hai to aapko iske features ke bare me pata hi hoga. Aur saath hi yah bhi pata hoga ki picchle kuch dino se YoWa App work nahi kar raha tha. Jisme users ko Whatsapp account has been temporary banned ❌ ka noticed mil raha tha. Lekin ab Latest YoWhatsapp update me iska solution kar diya gaya hai. Ab user YoWa Anti-Ban version use kar sakte hai.
yowhatsapp-download-and-update-kaise-kare

YoWhatsApp kya hai?

Yah ek esa modified Whatsapp version hai jisme, Users ko original whatsapp ki comparison me bahut jyada features milte hai. YoWa ko YouSef dvara handle kiya jata tha. Lekin last days se iske yah proper work nahi kar raha tha. Jiski wajah se YoWhatsApp update nahi mil rahe the. Lekin ab Fouad Mokdad jo ki FMWhatsApp ke developer hai ke dvara handle kiya jayega. Ab inhe ise develop karne ki permission mil chuki hai. Aur ab aapko regularly YoWhatsApp updates militi rahengi.


Messaging karne ke liye present me WhatsApp sabse popular App hai. Lekin isme limits hone ke karan kuch users ise pasand nahi karte hai jiski wajah se vo YoWA par switch kar lete hai. Lekin jab vo user internet par YoWA Apk download karne jate hai to unhe vaha par bahut saari usefulness sites milti hai. Jaha par sirf Ads hi bhare hote hai lekin Apk download link nahi milta hai. Agar aap bhi unme se ek hai to Don't worry friends, Mai aap logo ko is Post se hamesha iske latest version provide karvata rahunga. 😉 Isliye hamari is post ko Ctrl+D press kar BookMark ✔ jarur kare.

YoWhatsApp Update Download kaise kare?

Agar aapne YoWhatsApp download or Update karne se pahle kabhi GBWhatsApp use kiya hai. To aapko yah to pata hi hoga ki yah APK iske similar hai. Lekin YoWA ab dhire-dhire ise picche karte ja raha hai. And the reason is Features. Users hamesha se hi un Apps ke pichhe jate  hai jaha par unhe jyada features mile. To YoWA par aapko bahut saare aise features milne vale hai. Jinhe use karke Aap is App ke Fan ban jayenge. YoWhatsApp Download kaise kare janne ke liye aapne yah post ki thi to niche humne iska Download button create kiya hai.



Latest YoWhatsApp ke Features kya hai?

  • Anti-Ban (No WhatsApp account Temporary Banned)
  • Anti Revoke (If sender deletes message but message will not be deleted from your phone)
  • Aeroplane mode
  • Hide Blue ticks
  • Hide Typing status
  • Custom privacy with lock
  • Whatsapp Plus Themes
  • Hide View Status
  • Hide Your Chat or Group with Fingerprint, Pattern, Code
  • Send Full resolution image
  • Send message, image upto 3 group or person
  • Sticker update
  • Send any file format like-Apk, Docs, PDF, Exe
  • Call blocker
  • Media Sharing
  • Pin Chat

What's New in YoWhatsApp Version 8.12 

  • Fixed Crash on Kitkat's users
  • Fixed Unread Message Counter Color Does not Apply
  • Fixed Widget Issue
  • Fixed Don't have enough disk Space
  • Fixed Status time + Group @ name color is merged with text color
  • Fixed Pinned chats now is 1000
  • Fixed More bug fixes and improvements!

YoWhatsapp (YoWA) install & Account kaise banaye?

Agar Aap apni Original WhatsApp ki chatting ko khona nahi chahte hai to pahle Whatsapp chat backup jarur lijiye. Aur agar iske bare me jankari nahi hai to hamari post- Whatsapp chat backup kaise lete hai ko padh sakte hai. Ise humne GB To original switch karna sikhaya hai lekin iski same steps ko App Original to YoWA replace karne ke liye kar sakte hai.

Ab hum jante hai ki YoWhatsapp Update/Download karne ke baad YoWA par account kaise banaye?


1. YoWhatsApp APK Download karne ke baad ise open kar lijiye. Aur Install par click karte jaye.
Agar App install karne me permission require ki jaye to Settings me jakar Unknown Apps ko On kare.
2.  Apk Install hone ke baad ise Open kare.

3.  Ab aapse Mobile number enter karne ke liye kaha jayega. Tab apna Number dale.
yowhatsapp-apk-download-karke-number-dale
Agar aapne Chats ka backup liya tha to ab Copy WhatsApp Data par click kar dijiye.
Number dalne ke baad ab enter kiye gaye number par OTP aayega, Oose confirm kar dijiye. Agar aapke mobile OTP nahi aa raha hai to hamari post ko jarur padhe.
yowhatsapp-account-kaise-banaye
4. Ab aapi Chats ko Restore karne ke liye confirmation kiya jayega. Agar restore karna chahte hai to Restore button par click kar dijiye.

5. Ab last step me aapko Apne WhatsApp user name dalna hai. Jis name se Aap YoWhatsApp Use karna chahte hai.

To is tarike se aap apne mobile me YoWhatsapp Download ya YoWhatsApp update kar sakte hai. Agar iske baad bhi aap ise setup nahi kar pate hai. To hume comment kar jarur bataye. Post me di gayi link working hai jaha se aapko original YoWA Apk download link milega.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare