Call Waiting Chalu ya Activate kaise kare?

Hey guys kya Aap jab kisi se call par baat karte hai aur koi tirsra vyakti aapko call karta hai to aapko iska notification nahi milta hai. Agar ha to iska matlab yah hai ki aapke phone me Call waiting chalu nahi hai. Aur ese me koi aapko call karega to us vyakti ko "Person is Busy to another call" sunai deta hai. Aur aapko notification bhi nahi mil pata hai. Agar aap bhi apne phone ke liye call waiting activate karna chahte hai to hamari niche batayi steps ko follow kare.
call-waiting-chalu-activate-kaise-kare
Call Waiting kya hai?

Call Waiting, Yah ek esa feature hai jise activate karne ke baad se agar aap 2 log aapas me baat kar rahe hai. Aur koi 3 vyakti aapko call karta hai to aapko iski notification mil jati hai. Aur aap chahe to 3 vyakti ki call ko bhi attend kar sakte hai. Aur chahe to dono vyakti ko Conference call karke ek saath me baat kar sakte hai.

Mobile me Call waiting chalu kaise kare?

Dosto call waiting chalu hone se aapko new incoming call ki notification mil jati hai. Aur chahe to use attend bhi kar sakte hai. Ab hum jante hai ki call waiting activate kaise karte hai? Iske liye hamari niche batayi steps ko follow kare.

STEP:-1  Iske liye aapko sabse pahle Call button par click kar Call Menu me jana hoga.
call-waiting-ke-liye-call-button-par-jaye
STEP:-2 Ab yaha par aapko 3 lines show hogi is par click kare. Jisse aapke samne Call settings ka menu open ho jayega.
call-setting-me-enter-kare
STEP:-3 Yaha Call settings me aap dekh sakte hai ki. Aapko Call waiting ke name se option show hoga is par click kar dijiye.
call-waiting-kaise-karte-hai?
STEP:-4 Ab aapko apne phone me connected sim ke name show honge. Agar aapke phone me 2 sim card hai to 2 option show honge aur 1 hai to sirf ek hi name show hoga. Jesa ki niche image me aap dekh sakte hai ki yaha hume sirf ek name show ho raha hai. Ab aap jis bhi sim ke liye chalu karna chahte hai us par click kar dijiye.
call-waiting-chalu-karna-sikhe
STEP:-5 Yaha par aap dekh sakte haki ki Call waiting (During a call, notify me of other incoming calls) show hoga. Ab aapko iske pichhe show rahe On button par click kar dena hai. Aap jese hi click karenge aapko phone me Call waiting activate ho jayega.

Ab Agar Aap kisi se call par already engaged hai to bhi incoming call ka notification mil jayega. Aur bich me call ko attend bhi kar sakte hai. I hope guys aapko samjh me aaya hoga ki call waiting kaise lagate hai?

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare