Vivo me Call Recording Setting kaise kare?

Vivo phone, Dosto aaj ki is post me Mai Bishal Bhati aap logo ko Vivo phone me call recording chalu karne ki steps batane vala hu. Agar aapko suni huyi baate bhulne ki aadat hai to Call recording ek bahut hi achchha feature hai jiski help se aap badi hi aasani se call par huyi baato ko rewind kar sakte hai.
vivo-phone-me-call-recording-kaise-kare
Esliye aapko apne Vivo mobile me call recording activate jarur karna chahiye. Jisse aapke phone ki sabhi incoming call aur outgoing call ki recording hone lag jayegi. Vivo phone Aaj ke time ka sabse popular phone me se ek hai. Kyonki Vivo ke mobile saste  milte hai aur isme quality bhi milti hai is karan se log ise bahut pasand karte hai.

Vivo me Call Recording Chalu/Activate kaise kare?

Dosto call recording chalu karna bahut hi aasan hai. Dusre phone ki tarah Vivo me bhi call recording chalu kar sakte hai. Lekin iski setting ka option thoda sa alag hai. Agar aap nahi jante hai to hamari niche batayi steps ko follow kare.

STEP:-1 Vivo me call recording chalu karne ke liye sabse pahle Phone Settings me jaye.
STEP:-2 Setting me jane par niche ki side scroll down kare. Yaha par aapko Phone ke name se option show hoga is par click kar dijiye.
phone-me-jaye
STEP:-3 Phone option me enter hone ke baad ab Record setting ka option show ho raha hoga. Ispar click kar dijiye.
call-recordig-kaise-karte-hai
STEP:-4 Yaha par ab aapke saamne 3 option show honge.
  1. Don't Record automatically
  2. Record all calls automatically
  3. Record custom calls automatically
phone-me-all-calls-record-kaise-kare
 By default record setting me first option selected hota hai. Lekin hum sabhi incoming & Outgoing calls ke liye Vivo me call record karna chahte hai. To second vale option ko select karenge. Aur aap jese click karenge to settings change ho jayegi. Ab agar aapke phone par koi bhi call se baat hogi to uski calls record ho jayegi. Lekin agar aap sirf selected number ke liye call recording karna chahte hai. To niche batayi steps ko follow kare.

How to Record Custom Calls in Vivo Phone

Vivo me custom calls record karne ke liye aapko upar batayi step 3 tak same step follow karna hai.

STEP:-4 Yaha par aapko Record custom calls automatically select karna hai. Jiske baad niche show ho raha Custom option show ho jayega. Tab Custom par click kare.
vivo-custom-call-recording
STEP:-5 Custom par click karte hi aapke saamne Numbers ki list open ho jayegi. Ab aap jis kisi bhi number ke liye Vivo me call record karna chahte hai use select kar lijiye.
vivo-call-record-setting
So dekha dosto is tarike se aap badi hi aasani se apne Phone me call recording activate kar sakte hai. Aur recorded calls aapko Music me mil jayegi.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare