Zoom App क्या है aur Zoom App कैसे use करे?

Hey guys Jesa ki aap sabhi ko pata hai ki abhi lock down ka time chal raha hai. Jiske karan sabhi ka schedule disturb ho chuka hai. Lekin agar aap is lock down me bhi ghar baithe apni meeting, Online classes start karke working  ko continue rakhna chahte hai. To aaj mai aap logo ko Zoom App ke bare me batane vala hu. Jo ki aapke liye bahut helpful sabit hoga.
zoom-app-kaise-use-kare-in-hindi

Zoom App kya hai?

Zoom ek online App hai jis par account bana kar online video calls ke through apni meetings or classes kar sakte hai. Zoom par 100+ person ko ek saath join kar sakte hai aur unhe instruction de sakte hai. Aur iski sabse khaas baat yah hai ki yah 100% free hai.

Example:- Maan lijiye ki agar aap ek teacher hai aur ghar baithe hi apne students ko digital way me video calling ke dvara education and training dena chahte hai. To yah aapke liye bahut upyogi hai kyonki isme aap free me class room create kar sakte hai aur jis bhi student ko zoom app ki help se padhana chahte hai unhe invite karke padha sakte hai.

Agar aap bhi janna chahte hai ki Zoom App par account banana aur Zoom app use karne ki process ko janna chahte  hai to hamari is post ko pura  jarur padhe.

Zoom App par Account/ID kaise banaye? Sign Up on Zoom App?

STEP:-1 Friends, Zoom App par account banana bahut hi aasan hai. Iske liye sabse pahle pahle aapko mobile me Play store se Zoom App download 👇 karna hoga.


STEP:-2 Download karne ke baad ise open kar lijiye. Open karne par aap dekh sakte hai ki aapko Sign Up & Sign in 2 option show ho rahe hai. Chunki hum first time Zoom par Id banane vale hai. Esliye Sign up par click karenge. Jisme sabse  pahle aapko Date of Birth select enter karna hogi.
STEP:-3 Ab aapke samne Sign up form open ho chuka hai. Isme aapko Email, Name, Last Name enter karna hoga. Aur phir I agree to the terms par mark kar Next karna hoga.
zoom-app-signup-form
STEP:-4 Now enter kiye gaye email id par Email aayega jisme Activate account button hoga us par click kar dijiye. Button par click karne se aap Web browser par redirect ho jayenge.
zoom-account-email-verify
STEP:-5 New page me hume Zoom account ke liye Password create karna honge. Aur phir Continue kar dena hai.

Step5 me again new page open hoga isme email id dal kar Invite karne ke liye kaha jayega tab is steps ko Skip this Step kar dijiye.
So now Zoom app par id create ho chuki hai. Yaha par link show ho rahi hogi. Yah link aapki Meeting link hai. Is link ko send karke Person ko meeting me join kar sakte hai. Ab aapko Application ko open karna hai aur  Login me jakar Email Id & Password enter karke account login kar lena hai. Now how to use Zoom so read below given Heading.

Watch our Video 👇

Zoom App Use kaise kare?

Upar humne aapko Zoom App par account create karna sikhaya hai. Ab is Heading me hum Zoom App use karna sikhane vale hai.

STEP:-1 Sabse pahle aapko Login Id and Password se App me login kar lena hai.

STEP:-2 Case I- Ab agar aap ek student hai to aapke paas Teacher/Boss ki Meeting Id/Personal link hona chahiye aur use Join section me jakar enter kar dena hai. Jiske baad aap us meeting me join ho jayenge. Aur koi bhi doubt hone par Raise your hand button par click kar apna question puch sakte hai.

Case-II- Agar aap ek teacher/Boos hai aur apne students/staff ke liye class ya meeting start karne vale hai. To iske liye pahle aapko Contact section me jakar Invite people to Zoom button se invite aur join karvana hoga.
zoom-contact-invite-kaise-kare
STEP:-3 Jab aap unhe invite kar lenge to unhe aapki Id ko enter karke class/meeting ko join karna hoga. Iske baad simplly aapko New Meeting par click karke apni Meeting start kar dena hai.

So Friends, Es tarike se aap Ghar baithe apni online classes or meeting start kar sakte hai. I hope guys aapko samjh aa gaya hoga  ki Zoom App par Id kaise banate hai aur Zoom App kaise use karte hai?

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare