Adobe Photoshop 7.0 kaise Download & install kare? 4 Easy steps to install in PC.

Computer me photo editing karne ke liye Adobe Photoshop best Software hai. Kyonki isme hume dusre software ki comparision me bahut jyada features milte hai. Jisse photo editing karna bahut hi aasan ho jata hai. Yah software computer me inbuilt nahi aata hai. Hume ise additionally download karna hota hai.

Agar aap bhi computer me Photoshop 7.0 Setup Download & Photoshop install karna chahte hai. To yaha humne iski process batayi hai. Iske liye bas aapko niche di gayi simple 4 steps ko follow karna hai. Agar steps ko samjhne me koi difficulty hai to niche humne video bhi diya hai.
Adobe-Photoshop-7.0-kaise-Download-install-kare?


Adobe Photoshop Download kaise kare?


Kisi bhi software ko install karne ke liye sabse pahle hume uska setup (.exe) file download karna padti hai. Chunki hum yaha par Photoshop 7 download karna chahte hai to niche diye gaye link se iska setup download kar lijiye.



Adobe Photoshop install kaise kare?

1. Software ke setup ko download karne ke baad hum ise install karna hota hai. Taki OS me install ho sake. Iske liye aapko setup par right click karna hai aur Run as Admin karna hai.
 
2. Ab aapko kuch detail enter karna hogi. Jese ki Name, Company name, Serial number etc. Without serial number, Photoshop installation ki process ko aage nahi badha sakte hai. Agar aapko free me Serial number chahiye to aap humse personal contact kar sakte hai.
 
3. Step2 me puri detail enter karne ke baad aapko next-next karte jana hai. Jisse kuch hi second me software fully installed ho jayega. Aur Desktop par Adobe Photoshop 7.0 ka ek Shortcut icon bhi add ho jayega.

Ab aap is Desktop shorctut se software ko open kar sakte hai aur ise use kar sakte hai. Aasha karta hu dosto aapke system me Adobe photoshop download & install ho chuka hai. Lekin agar phir bhi problem hai to hume comment karke bata sakte hai. Post- MS Office install karna sikhe?

Thank you 🙂

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare