Mobile ki Outgoing Call kaise band (बंद) kare?

Hello friends, Aaj hum phir se baat karne vale hai call setting ke ek aur hidden feature ke bare me jiske bare me aapne movies me dekha aur suna hoga. Lekin kabhi use nahi kiya hoga. To mai aapko bata du aaj hum aapko Outgoing call band karna ya apne number se jane vali calls ko band karna bhi kahte hai. Tech language me ise Outgoing call deactivation/band karna kahte hai. Agar aapne abhi tak is feature ka use nahi kiya hai to aaj hum is post me outgoing call setting ke bare me sab kuch detail se batane vale hai.
mobile-ki-outgoing-call-kaise-band-kare
Agar aap log chahte hai ki mere number se kisi ko call nahi lage ya call connect nahi ho to is setting ke jariye aap esa kar sakte hai. Vese to outgoing calls tab band hoti hai jab aapke mobile me network nahi aa raha hai ya sim band ho chuki ho. Lekin agar aapke saath esa kuch nahi hua hai par phir bhi esa karna chahte hai to niche batayi steps ko follow karke esa kar sakte hai.

Outgoing Call meaning in hindi

Outgoing call, Yeh call barring ki hi ek setting hai jiska use karke aap apne phone se jane vali calls ko band kar sakte hai. Aur jab bhi koi aapke phone se kisi ko call karega to call connect nahi hoga aur bat nahi ho payegi.
Es setting ka use aap tab kar sakte hai jab aap kisi ko call nahi karne dena chahte hai tab. Yeh to ho gaya outgoing call ka matlab ab jante hai ki phone/mobile ki Outgoing call band kaise kar sakte hai.

Mobile me Outgoing Call ko kaise band kare?

Dosto Ougoing call ko band karne ke liye aapko niche Images ke anusare humne kuch steps ko bataya hai unhe follow karna hoga. Uske baad me aap bhi apne kisi bhi mobile ki Outgoing call ko band kar sakte hai. Yaha humne Outgoing calls ko band karne ke liye 2 tarike bataye hai. Aap dono me se kisi bhi tarike ko apna kar incoming ko block kar sakte hai.
  1. USSD Code se
  2. Call Setting se (Yadi first method kaam nahi kare tab)
  3. Call Center (Agar sim gum ho chuka ho tab)
Yeh ek call setting hai iske liye aapko koi charge dene ki koi jarurat nahi hai.
Method:-1

USSD code se Outgoing call band kaise kare?

USSD ek esa code hota hai jise dial karke aap balance check etc kar sakte hai. Iske alava ussd code ka use aap outgoing service ko band karne ke liye bhi kar sakte hai. To chaliye jante hai-

1. Mobile ke dial pad open kare.

2. Dail pad open karne ke baad *31# code dial kare aur call button par click kare.

Agar aapka phone dual sim hai to ussd code dial karne ke baad us sim se call kare jiski outgoing service band karna chahte hai. Iske baad agar aap is ussd code deactivate karna chahte hai. To dialpad me jakar outgoing call deactivate code : #31# dial kare.

Yeh bhi padhe:-
Friends, agar yeh trick kaam nahi karti hai to aapko method 2 try karna chahiye. Method 2 work nahi kare esa ho hi nahi sakta hai. Kyonki yeh manually process hai aur direct sim setting ko change karti hai.
Method:-2

Call Setting (Call Barring) ki madad se Incoming call kaise band kare?

Agar aap kisi app ko download and use kiye bina, Manually tarike se Incoming call ko band karna chahte hai to aapko niche likhi steps ko follow karna hoga. Jisme aapko koi app download nahi karna padega. Yeh settings aapke mobile me pahle se mojud hoti hai bas aapko ise enable/on karna hai. Uske baad me aapke mobile number se koi bhi outgoing call nahi ho payegi jab tak ki aap ise band/deactivate nahi kar dete hai.

STEP 1:- Mobile ke dialpad me jaye aur left side me dikh rahe 3 dots ko click kare. Yaha par 2option- call setting aur general setting ke name se option dikhai denge. Tab Call setting me jaye.
call-setting
STEP 2:- Ab Call settings open ho jayegi. Yaha par aapko Calling account ya Advance setting dono me se kisi bhi name se ek option dikhai dega us par click kare.
advance-setting-me-jaye
STEP 3:- Is group me aapko Call Barring likha dikhai dega ise click kar open kare.
call-barring-and-sim-select-kare
STEP 4:- Ab aapko apne phone me plugged sim card ke name show honge tab aapko vo sim card select karna hai jiske liye aap Outgoing call ko band karna chahte hai.

STEP 5:- Aap jese hi is setting me enter karenge aapko kayi sare option dikhai denge. Jiske kya kaam hai humne niche detail se bataya hai.

Call Barring Options kaise use kare:-
  • All Outgoing Calls
Is setting se aap apne number se jane vali sabhi call ko band karna chahte hai to ise on karte hai.
  •  International Outgoing Call
Agar aap chahte hai ki mere number se kisi bhi International number ko call nahi lage to ise on karte hai.
  • All Incoming Call
Humne isi setting ko on karne ke liye yeh post Outgoing call band kaise kare likhi hai. Is setting ko on karne ke baad se aapke mobile par koi bhi Outgoing call nahi aayegi yani ki koi bhi mobile se call connect nahi kar payega.

Outogoing call band karne ke liye hume All Outgoing call option ko click kar chalu karna hoga.
outgoing-call-setting-kare
STEP 6:- Ise on karte hi aapke saamne ek dailouge box aayega jisme aapko Call barring password enter karne ke liye kaha jayega. Tab aapko apne phone ka default phone code/password dalna hai. Kyonki maximum time call barring password phone ka default password hi hota hai. Ab vo password dal karke OK kare.

Jiske baad se agar aap kisi bhi vyakti ko mobile se call connect nahi kar payenge. Jab tak ki aap is setting ko disable/band nahi kar dete hai.
Method:-3

Customer care se Outgoing Call band karvaye?

Dosto agar aapki sim kahi gum ho jaye aur agar aapko dar laga rahe ki koi dusra vyakti is sim ka galat tarike se use na kar le yani ki kisi ko blackmail karne ya galat kam karne ke liye. To esi condition me aap customer care me call karke apne sim ke liye outgoing service ko band karva sakte hai.
Kisi bhi sim ki outgoing service band karvane ke liye Jab aap customer care me call karenge to vo aapse verification ke tor par sim kiske name par hai aur aadhar card number mang sakta hai. Esliye unhe sahi jankari de taki vo aapki madad kar sake. Jab customer vale outgoing call band kar denge to uske baad jis kisi ke pass bhi aapka sim card hoga vo us sim se kisi ko call connect nahi kar payega.

Outgoing Call chalu kaise kare?

Agar aapne yeh setting kisi reason se chalu kari thi aapko yad se is setting ko band kar dena chahiye. kyonki jab tak aap is setting ko Turn off/Disable/Band nahi kar dete hai. Tab tak kisi ko bhi call connect nahi kar payenge aur bat nahi kar payenge. To chaliye jante hai ki Outgoing call setting ko on ya chalu kaise karte hai?

STEP 1:- Friends, Upar batayi Step3 tak aapko same steps follow karna hai.

STEP 2:- Abhi Outgoing call setting ka option On hai. Tab aapko is par click karke is option ko band kar dena hai. Jiske baad phir se aapke mobile ki outgoing call service chalu ho jayegi. Aur ek hi bar me call connect kar payenge.

To dekha dosto upar batayi in setting ko change karke aap badi hi aasani se apne mobile ki Outing call band kar sakte hai. Aur apna kaam pura hone par phir se aap Outgoing call ko chalu bhi kar sakte hai. Aapko hamari yeh post kesi lagi hume comment karke jarur bataye aur Agar aapko in steps ko follow karne me koi problem hai to hume bataye.

Tags: Outgoing call band kare, outgoing call band kaise kare, sim se jane vali call band kaise kare, outgoing call block, call karke outgoing call band kaise kavaye,

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare