kisi bhi apps ko kaise hide kare aur dusro se chupaye

Hello dosto kya haal hai, Aaj me aapko fir kuch naya batane wala hu aaj me baat karne wala hu ki aap apne android mobile me install apps ko hide kaise kar sakte hai dusro se apps chupane ke liye bhi aapko ek app ki jaurat padti hai aur aaj ham usi ke baare me baat karne wale hai aur usko upyog kaise karte hai ye batane wala hu. Agar aap apne mobile se photos aur videos hide karna chahte hai to is post ko padh sakte hai.

Par agar sirf apps ko hi chupana chahte hai to fir is post ko padhte rahe. To chaliye bina time ko kharab kare jante hai.
android-Mobile-me-apps-hinde-kaise-kare

Android me mobile apps kaise chupaye/hide kare?

Aapke mobile me kuch ese apps hai jihe aap dusro ko nahi dikhana chahte hai. Esa nahi ye problem sirf aapko hi hai sabhi apne mobile me kuch ese apps rakhte hai jise wo dusro ko dikhana pasand nahi karte hai. Par logo ko apna mobile dene se mana karo to wo bura maan jate hai to ese me iska simple sa solution hai.
Jiski madad se aap apps hide kar sakte hai bas aapko Menu me top right side me 3 dots dikhenge yaha se aap apps hide kar sakte hai.
1. bahut sare mobile me ye option nahi hota hai to ese me aapko ek mobile launcher app download karna hoga jiska naam hai Solo launcher iska download link niche diya hai aap ise yaha se dowload kar sakte hai.




2. Solo launcher download karke apne mobile me ise Default set karde ab aap apps hide karne ke liye teyar hai. Aapko bas apne mobile ki home screen me menu ke button par click karna hai yaha par aapko top right side 3 dots : ke icon par click kare aap niche image me dekh kar samajh sakte hai.
Android-Mobile-me-apps-kaise-chhupaye
Yaha click karne ke baad aap Hide App wale option par click kare ab jis bhi app ko hide karna hai oos par tick mark karke done karde wo app hide ho jayega.
Apps-kaise-chupaye
Ab agar aap us app ko wapas lana chahte  hai to is process ko fir se kare. But is baar aapko marked apps ko unmark karke Done par click karna hai. Wo app fir se aapke menu bar me aa jayegne.

Guys ye bahut hi simple si trick hai ab aap chahe koi sa bhi app rakhe use hiden karke aap oos app ko dusro se aasani se chupa sakte hai agar post pasand aaya to comment karo share karo aur sabse jaruri website ko subscribe karo.


Ye bhi padhe -:



Show comments
Hide comments

2 comments:

Apna Comment Kare