Mobile phone ka Password/Pattern lock Easliy se kaise tode.

Dosto, Aaj ke time me Android mobile lagbhag sabhi ke paas hota hai aur sabhi logo ke mobile me kuch ho na ho par pattern lock ya fir password lock jarur hoga log security ke liye apne mobile par pattern lock ya passowrd use karte hai par agar aap apna pattern ya password bhul jate hai ya fir koi apke mobile ke sath chhed-khani karke bahut bar wrong pattern dal deta hai to aapka mobile lock ho jata hai aur ese me agar kisi shop wale ke paas lekar jao to mobile lock kholne ke lagbhag 200-350 RS. dene padte hai jabki mobile phone ka password kholne ka tarika bada hi aasan hota hai  aap khud bhi apne phone ke lock ko aasani se tode sakte hai.
mobile-phone-ka-password-kaise-tode
Iska ek sabse aasan tarika hota hai ki aap jab 10-12 baar galat lock dalte hai to aapko screen par Forget password ka option mil jata hai jaha par click karke aapko apni us gmail id se sign in karna hota hai jise aapne apne mobile me use kiya hota hai aur sign in karne ke baad aapka mobile khul jata hai aur aapko new pattern aur password dalne ke liye bola jata hai lekin bahut sare mobile me Forget password ka option nahi aata hai aur agar aa bhi jata hai to logo ko apni gmail id yaad nahi hoti hai ki mobile me kon si gmail id use kari thi to ese mepasswordkaise tode  to iska solution aapko apna mobile kholne ke liye niche kuch steps hai jinhe follow karna hai uske baad aap apne android phone ko khol sakenge.

Mobile ka lock kaise khole

Ek baat yaad rakhe ki ye jo tarika hai isse aapke mobile ka sara data delete ho jayega kyoki isme ham apne mobile ko reset karte hai jiske karan mobile me jo bhi data jaise ki photos, videos, songs vagera sab delete ho jayenge.
Note -: Mobile Reset karne se pahle ye baat yaad rakhe ki Aapke mobile me jo bhi data tha wo delete ho jayega esliye pahle se apne data ka Backup jarur kar lijiye taki agli esi problem aane par Data ko Recover kar sake.

STEP-:1 Sabse pahle to aap apne mobile phone ko Switch Off kar le uske baad aapko apne mobile ko start karna hai par normal tarike se nahi, aapko use recovery mode me start karna hai recovery mode me jane ke liye aapko niche bataye hue button ek sath dabane hote hai.


Niche hume kuch Famous mobile ke Recovery mode button ki list batayi hai par agar apka mobile is list me nahi hai to aap comment karke bata de hum use list me add kar denge.

 Mobile Recovery
Samsung Home+VolumUp+VolumDown
MI Redmi Power+VolumDown
Micromax Power+VolumUp+VolumDown
LenovoPower+VolumUp+VolumDown
Motorola Power+VolumDown
Lava Power+VolumDown
Nokia Power+VolumUp
STEP-:2 Yaha kuch mobile ke example diye hai dusre sabhi mobile bhi ese hi recovery mode me jate hai aur ek baat yaad rakhe jo mobile ki stock recovery hoti hai usme touch kaam nahi karta hai isme agar aap niche aana chahte hai to aapko volume down ka button aur upar jane ke liye volume up ka button aur click karne ke liye Power button ka istemal karna hota hai.

STEP-:3 Jab aap recovery mode me jate hai to Isme aapko kuch option diye jate hai par isme se aapko Wipe data/Factory reset par select karna hai. Aap niche image me dekh sakte hai.
mobile-kof-rormat-karna-sikhe
STEP-:4 Aur jaise hi aap is option par click karte hai aapke samne bahut sare 'No' option honge pr ek option 'Yes -- Delete all user data' hoga aapko bas isi option ko select karna hai.
data-reset-ko-confirm-kare
STEP-:4 Finally aapka mobile ka password Reset ho gya hai ab Aap phir se first vale page par chale jayenge jaha par apko Reboot System now ke option ko select karna hai. aapka mobile 1-2 minutes me on ho jayega aur password ya pattern lock bhi khul jayega.
mobile-data-clean-kare
To dosto dekh aapne ki mobile phone ka pattern lock kholna kitna aasan hai ab agar aap bhi apne mobile ka pattern lock bhul jaye to kisi shop par jakar paise kharch na kare balki aap khud hi is post ki madad se apna pattern tod sakte hai.


Agar apko apne mobile ke liye recovery mode button nahi pata hai to Aap hume apne mobile ka name comment karke bataye hum apko apke mobile ka Recovery mode me jane ke button bata denge jisse aap aasani se mobile ka password tod sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare