Kisi bhi Vivo phone (Y51L, Y21L) se gmail id remove kaise kare

Dosto hello aaj hum aapko is post me kuch esa batane ja rahe hai jo un logo ke liye kaam aane wala hai vivo ka mobile phone use kar rahe hai. Vivo phone me gmail account remove karne me bahut sare logo ko problem aarahi thi to humne socha ki kyo na iske liye ek post hi likh di jaye jsse sabhi ko help ho jaye.
Vivo phone se gmail id remove kaise kare
Vivo phone use karne wale logo ko ek problem aati hai ki wo apne mobile se gmail id remove nahi kar pate hai iska karan yahi hota hai ki gmail remove karne ka option nahi hota hai jabki wo option hide hota hai use hame unhide karna hota hai to chaliye abhi hum jaldi se jaan lete hai ki apne vivo mobile phone se gmail id kiase remove karte hai.

Vivo ke kisi bhi phone se gmail id logout kaise kare

Niche hamne kuch simple steps bataye hai aap unko follow karke apne vivo y52L, y51L, y21L ya kisi aur vivo ke mobile phone se gmail id hata sakte hai.


 1  Vivo y51L, y21L ya kisi bhi vivo phone se gmail id remove karne ke liye aapko apne mobile ki setting me jana hai mobile ki setting me jane aapko yaha account ka option milega aap is par click kare uske baad aapke samne sare account khulenge yaha par gmail id bhi dikhegi aap gmail id par click kare jaisa ki niche image me dikhaya gaya hai.
click account and gmail
 2  Abhi jaise hi aap gmail par click karte hai to aapke samne jitne bhi gmail account vivo phone me honge wo dikhaye jayenge to aapko jo bhi gmail delete karna hai us par click kare jisse aapke samne us account ke sync option khul jayenge.
select gmail jise remove karna hai
 3  Ab yaha par aapko sabse jaruri kaam karna hai Remove account ka option aapko lana hoga uske liye aapko vivo mobile me jo niche 3 button hote hai. home, back button aur ek hota hai option button. Jo left me home button ke paas hota hota hai. Aap is par click kare. Jaise hi aap is par click karte hai aapko 2 option milenge Remove gmail aur Sync now aap remove par click karke ok karde. Ab aapka gmail vivo phone se logout ya remove ho jayega.
remove account and click ok
Ab aapko samajh aagya hoga ki ye kitna aasan hai aapko agar fir bhi ye samajh nahi aaya hai to koi baat nahi hamne iske liye ek video bhi bana diya hai jise aap yaha niche dekh sakte hai. Aap is video ki madad se bahut aasani se vivo ke mobile se gmail id remove kar sakte hai. Ab agar aapko fir bhi kuch samajh nahi aaraha hai to humne comment karke bata sakte hai hum aapki madad jarur karenge. Aap hamare post ko jarur share kare.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare