Mobile se Deleted Contact Recovery kaise kare ya vapas laye

Hi guys aaj hum bat ese problem ke topic par bat karne vale hai jo ki kabhi na kabhi har kisi ko face karna pad jati hai. Man lijiye ki aapne apna phone reset/restore kiya hai aur aap apne phone contact ka backup lena bhul gaye hai. To aise me aapke mobile se sabhi jaruri number delete ho jayenge aur ab aap contact number ko recovery karna chahte hai.
Lekin aap nahi jante hai ki kis tarike se hum phone se delete ho chuke number ko vapas la sakte hai. To iske liye hamari post ko end tak jarur pahde. Is post me humne contact number recovery karne ki puri jankari di hai.

Contact Recovery kaise karte hai/Contact vapas kaise laye?

Phone se delete ho chuke contact ko recover karne ke 2 tarike hote hai jinka use karke aap badi hi aasasni se apne mobile se delete contact ko restore kar sakte hai. Humne is post me contact restore karne ke dono tarike bataye hai.

Gmail se contact kaise nikale :- 1

Ji ha dosto Gmail sahi padha hai aapne Gmail ki help se hum apne phone se delete ho chuke mobile number ko vapas nikal sakte hai. Agar moblie reset karne ke pahle aapke mobile me gmail id login thi aur aapne apne contact ko gmail par upload kiya tha to aap badi hi aasani se pura mobile data delete hone ke baad bhi gmail se contact nikal sakte hai. Gmail se contact recovery karne ke liye aapko niche batayi steps ko follow karna hai.
Google contact app se contact sirf tab hi recover ho pate hai yadi aapne contacts ko Gmail me save kiya hai.
Step1:- Sabse pahle apne mobile me Google contact app download kar lijiye aur ise apni gmail id se login kar lijiye. Lekin dhyan rahe aapko usi gmail id se login karna hai joki data delete hote time mobile me login tha.
Step2:- App ko gmail se login karne ke baad aapko Left side me 3 dot dikhai denge us par click kare. 3 dots par click karne app ke sabhi option khul jayenge. Tab yaha par aapko Settings likha dikhayi dega ise click kare.
settings-par-click-kare
Step3:- Ab is app ki sabhi settings open ho jayegi ise niche ki side drage kare. Isme Undo changes ke name se ek option open hoga.
undo-changes-kare
Step4:- Undo changes par click kare tab aapke samne kuch option open ho jayenge. Hum maximum pichhle 30 dino tak ke delete huye contact ko recover kar sakte hai. Tab hum in option me se custom ko select karenge aur image me dikhaye anusare isme 30 din enter kare.
contact-recover-kare
Ab aap dekh sakte hai ki pichhle tino me abhi tak aapne jitne bhi contact delete kare the vo sabhi recover ho jayenge. Agar yeh tarika kam nahi karta hai aur aapne gmail me contact save nahi kiye hai to aap niche bataye dusre tarike ko jarur try kare isse sabhi deleted contacts ki recovery ho jayegi.

Deleted Contact number vapas kaise laye By Apps :- 2

Is app ki help se apne mobile se deleted photos, video, audio ke sath hi contacts ko bhi recover kar sakte hai. Yeh android user ke liye achchha recovery software hai. Aap chahe to is app ko play store se trail version ke rup me download and use kar sakte hai.

Yeh ek popular computer software hai. Computer se mobile ko usb cable ke dvara connect karke aap apne mobile se sabhi tarah ki delete ho chuki chije jisme image, audio, video, contact sabhi ko restore kar sakte hai

Aasha karta hu ki aapko hamari yeh post achchhi lagi hogi aur upar batayi tricks ka use karke mobile se deleted contact recover kar paye honge. Phir bhi agar aapko kisi tarah ki problem hai to hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare