Jio Group Talk kya hai? Group Talk Download & use kaise kare?

Guys aap yeh to jante hi honge ki Whatsapp ne apne latest update me group calling feature jod diya hai. Jisse hum ek saath sabhi ke saath me video call par face to face baat kar sakte hai. Aur isi time par Jio ne bhi Group call based apne ek App Group Talk App launch kar diya hai. Marketing analysis ki mane to ise Whatsapp ke Group call feature ko jawab dene ke liye banaya hai.

Jio ne ise abhi abhi hi launch kiya hai aur yeh android, ios mobile user ke liye avalible hai. Android user Play store se Jio Group talk ko download kar sakte hai aur ios uses ise Store se download kar sakte hai aur use kar sakte hai. Yaha par humne Jio Group Talk app hi puri jankari di hai. Jisme hum android & ios user ke liye iska download link, Is app par account kaise banaye aur kaise use ke bare me detail se bataya hai.
jio-group-talk-kya-hai-download-kare

Jio Group Talk App kya hai?

Jio Group Talk App ek Group calling app hai jiski madad se hum apne mobile me saved contact ko group call kar ek saat bat kar sakte hai aur group calling ka fayda le sakte hai.

Jio Group Talk par kaise Download & use kare?

Aap chahe to apne mobile ke Play store, ios store par se is app ko search karke download kar sakte hai ya hamare niche diye gaye link se bhi ise single click me download kar sakte hai. Filhal isse aap sirf Volte based group voice call kar sakte hai. Lekin esa mana ja raha hai ki aane vale kuch hi dino me isme group video call feature bhi add kar diya jayega. Kyonki app install hote vakt device se camera ki bhi permission require ki jati hai.


Jio Group Talk for Android


Jio Group Talk for iOS



Apne mobile me download karne ke baad is app ko install kar lijiye taki hum ise open kar sake aur is par account bana sake.

Jio Group Talk kaise account banaye or use kare?

Download karne ke baad is app ko open kare yaha par aapko Login karne ke liye kaha jayega. Is app ko sirf Jio user hi use kar sakte hai. Yani ki Jinke pas Jio sim ya wifi device hai. Kyonki sirf Jio  number se login hoga aur us par ek OTP aayega jise verify karna hoga. To chaliye jante hai ise kaise karte hai?


STEP :-1 Sabse pahle to Profile name aur Mobile number dale.
STEP :-2  Enter kiye gaye mobile number par ek OTP aayega ise confirm kare. Ab aapka account successfully ban chuka hai.
OTP verify karne ke baad ab aap Jio Group Talk par group me call karne ke liye teyar hai. 

Group Talk se Group Call kaise kare?

Ab simply aapko Start new Group par click karna hai, contacts select karna hai aur call button par click kar dena hai. Tab aapki group calling start ho jayegi.
jio-group-talk-se-call-kare
To dosto is tarike se aap badi hi aasani se group talk par account bana sakte hai aur group calling kar sakte hai. Agar aapko Jio Group Talk chalane me koi problem aa rahi hai to hume comment kar jarur bataye. 

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare