Kisi bhi Airtel Number ki Call history kaise dekhe?

Kya Aap airtel prepaid user hai agar Ha! Aur aap apne ya kisi dusre airtel number ki call history dekhna chahte hai. Taki aapko yah pata chal sake ki kab, Kisse, Kitne der tak aur kis number se baat ki gayi thi to. Aaj ki yah post aapke liye bahut hi useful hone vali hai.

Google par bahut sare Applications aur websites available hai jaha se hum last 6 month taki ki call details dekh sakte hai. Lekin current(running) month ki details nahi dekh sakte hai. Kisi bhi prepaid number ki call details pata karne ke liye uski official website se login karke dekhna sabse best hota hai. Lekin agar aap kisi ko bina bataye uski airtel call details hack karna chahte hai. To yah method work nahi ho pati hai. Aur vaise bhi kuch technical problem & terms ki vajah se yah method work bhi nahi kar rahi hai.
airtel-ki-call-details-kaise-nikale
Iske liye aapko kuch different steps ko follow karna padta hai. Agar hum hum baat kare Android App se airtel call record dekhne ki to hum isse bhi pata kar sakte hai. Lekin hum aapko Official tarike se hi kisi bhi airtel number ki call history dekna sikhane vale hai. Agar aap bhi is technique ko janna chahte hai to is post ko pura jarur padhe.

Airtel Call jankari nikalne ke pahle jaruri baate:-
  • Hum My airtel App se call details nikal sakte hai lekin agar hume Unlimited vala pack ya Unlimited calls ka pack recharge kiya hai to hum information nahi nikal sakte hai.
  • Jis bhi vyakti ke number ki call information nikalna chahte hai uska mobile ek bar to jarur lena padega. 

Airtel Call History/Detail kaise dekhte hai?

I hope guys Aapne upar batayi baato ko achchhe padh liya hoga. Ab hum jante hai ki reality me Airtel number call history kaise dekhte hai. Iske liye maine kuch steps batayi jinhe aapko follow karna hoga. Mai ek bar aapko phir remind karvana chahta  hu ki hum current month ki call details nahi nikalva sakte hai. Better tarike se samjhne ke liye niche ka Example padhe.

E.g. - Maan lijiye ki abhi October chal raha hai to hum October month ki details nahi nikal sakte hai. Balki iske last month yani ki September month ki details nikalva sakte hai.

STEP :-1  Aap jis bhi mobile number ki airtel call details dekhna chahte hai. Vo phone lijiye aur Message box me jaiye.

STEP :-2  Message box me jane ke baad aapko Create new message par click karna hai. To me 121 number type kare. Aur message me EPREBILL AUGUST type kare. Aur phir last me apna Email Address type kar dijiye. Jis par aap call details ki PDF list receive karna chahte hai. Aap jo bhi Email address type karenge usi par hi ek PDF file bheji jayegi jo ki password protected hogi.
airte-call-details-dekhne-ka-number

E.g. - EPREBILLMONTH NAMEEMAIL ADDRESS
STEP :-3  Message To number aur Text message check karne ke baad Send button par click kar dijiye. Kuch hi seconds me aapka messagae company me send ho jayega. Aur unhe jaise hi aapka message receive hoga to iske reply me hume Your Bill Request has been received ka reply message aayega.
airtel-call-history-pdf-password
Working timing ke bich me email par file send kar di jayegi. Reply message ke saath me aapko ek  Password aayega. Is password ko note kar lijiye.

Yeh bhi padhe:-
STEP :-4  Ab message me send kiye gaye Email address par ek email aayega jisme aapke airtel call details ki PDF file hai. Ise Download kar lijiye.
aitel-call-history-ki-file-download-kaise-kare
Jo ki abhi password protected hai aap jese hi ise open karenge to aapse Password enter karne ke liye kaha jayega.Tab simply Text Message me aaya Password yaha par type kar dijiye. Jisse yah PDF file open ho jayegi.
airtel-call-history-ki-list-kaise-nikale

Summary

PDF file open karne par aap dekh sakte hai ki aapne last month me jitne bhi Contacts se kab, Kitne der tak baat kari thi aapko sab dikhai dega. To dekha dosto is tarike se aap simple ek Text message se airtel number ki call history dekh sakte hai. Agar aapko abhi bhi airtel call details dekhne/nikalne me koi problem hai to hume comment kar jarur bataye. Taki hum aapki help jarur kar sake.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare