Windows installation disk ki Image/copy file kaise banaye! karekaise

Hello Friends, computer me windows ke installation ke liye windows setup disk hona bahut jaruri hota hai bina disk ke aap windows O.S. Setup ko computer/laptop me install nahi kar sakte hai. Man lijiye hamare pas ek windows installation ki cd/dvd hai agar vo dvd kharab ya gum ho jaye to hum windows ka installation hi nahi kar payenge isliye hamare pas oos windows disk cd/dvd ka Image, backup ya copy hona chahiye taki jarurat padne par hum oose phir se ek new cd/dvd me copy kar sake aur apna kam kar sake. To aaj hum aapko sikhayenge ki kaise apni windows installation disk ki Image/backup/copy banaye aur jarurat padne par phir se oose new disk me kaise install kare.

Chunki Windows ek software setup hota jo ki dvd me different folders me hota hai isliye hum ise directly copy nahi kar sakte hai jese ki hum pandrive se computer me data copy karte hai par windows dvd ki data copy karne ke liye hume ek software ka use karna padta hai jo oos setup ko ek main file me convert kare jise hum windows ka image ya windows ka  backup kahte hai agar hum sidhe hi windows dvd ki files ko computer me copy kar le aur new disk me past kare to vo disk ek windows bootable dvd ki tarah work nahi karegi kyonki usme keval uski files copy hui balki windows ki dvd banane ke liye hume oose bootable karna padta hai bina bootable kiye vo disk boot manager me boot hi nahi hogi aur windows setup start hi nahi hoga aur agar hum oos dvd ka image banate hai aur oos windows setup ko dvd me burn karte hai to vo disk bhi windows dvd ki tarah work karegi. To chaliye jaante hai kaise windows installation disk ki image/backup/copy banaye ya winows disk ki .iso ya image file kaise banaye?



windows-installation-disk-copy-image-kaise-banaye


Nero se Windows installation dvd ki bootable copy/image file kaise banaye?

Windows disk ki Image files banane ke liye aapke pas koi disk burning ya disk creator software Nero ya power iso software computer me install hona chahiye yeh software windows installation files ko windows ki iso/image file me convert karne me help karega. Disk burning software download karne ke liye niche link ko open kare.



Download: Nero

Step1: Nero open kar lijiye aur copy data dvd/cd select kare.

Step2: ab aapko source drive me cd/dvd drive ka location select karna hoga  phir niche destination drive me image recorder select karna hai, dhyan rahe agr default select kiya to apki files to copy ho jayegi par vo image ki tarah work nahi karegi.
Step3: cd/dvd drive location, destination drive drive select karne ke baad copy button par click kare.

Step4: ab copy location ka box aayega usme vo location set kare jaha par aap apni windows image/copy ko save karna chahte hai aur  phir start button par click kar de.

Windows setup file, image files me convert hona start ho gayi hai ise disturb na kare otherwise software aborted by user ka notice show kar files ban rahi Image/copy cancel kar sakta hai isliye jab tak files copy ho wait kare.


Power Iso se windows installation disk ki image kaise banaye?


Step1: Power iso software open kare.
 Downlad:PowerIso 

Step2: Open karne ke baad Copy par click kare.
    Step3: Source drive me Dvd drive select kare.

    Step4: Destination file me 3 file format show honge .iso, .bin, .daa tab inme se .iso file type format select kare taki jab aap bootable Pan drive banaye to aapko problem nahi aayegi.


    Step5: ab last me dikh rahe 3 dot … par click kare jisse explore open ho jayega usme Location set kare aur file name dijiye aur save par click kare dijiye.


    Image file ban jane ke baad aap isse jitni chahte utni windows disk ki cd/dvd bana sakte hai aur computer/laptop me install kar sakte hai ab Windows image file ko dvd drive me burn kaise kare padhe. Windows image file se aap bootable pan drive bana kar computer me windows bhi install kar sakte hai aur jald hi me apke liye bootable pan drive kaise banaye aur pan drive se windows kaise install kare ki post likhe vala hu tab tak liye bye and have a good day. Hamari post acchi lagi hai to ise facebook, whatsapp, twitter par share jarur kare aur hamari new post apne email box me free me pane ke liye aaj hi hume email subscriber kare aur apne email account me jakar email confirm jarur kare.

    No comments:

    Post a Comment

    Apna Comment Kare