Apna Mobile number kaise pata kare? Number pata karne ka Code

Hey guys kya aap kaphi samay se apna sim card to use kar rahe hai lekin kya aapko khud ko apne mobile number pata bhi hai ya nahi. Kyonki bahut sare logo ko apne hi mojuda mobile number pata nahi hote hai. Vese bhi Jio ke aane ke bad se bahut sare logo ne free Internet aur calling ke liye new Jio sim card buy kiya tha. Aur aaj bhi Jio sim use kar rahe hai.
mobile-number-kaise-pata-kare
Jaruri nahi ki sirf Jio user ko hi apna mobile number nahi pata hai. Iske alava aur bhi kayi sare Networks user hai jinhe khud ki sim ke mobile number nahi pata hai. Agar aap bhi unme se ek hai aur nahi jante hai ki apne Airtel, Idea, Jio, Vodafone, Aircel sim ka mobile number pata kaise karte hai. To aapko yeh post jarur padhna chahiye.

Mobile number kaise pata kare ya jane?

Yaha par hum aapko kisi bhi mojuda sim card ka mobile number kaise nikalte hai ke bare me puri jankari dene vale hai. Agar aap bhi apne mobile se sirf call aur internet use karte hai aur kisi ke puchne par aap khud ka mobile number hi nahi jante hai aur mobile me check karne lagte hai.
Lekin vo bhi work nahi karta hai. Kyonki aapko mobile number pata karna nahi aata hai. To aaj hum aapko kuch USSD Code se number nikalan sikhane vale hai. Niche humne sabhi mobile network companies ke Know Your Mobile Number USSD Code share kiye hai. Jise dial karke ek hi second me apna mobile number jan sakte hai.

Jio Sim ka Mobile number pata kaise kare?

Jio sim ka mobile number janne ke liye aapko My Jio app ka use bhi kar sakte hai. My Jio app open kare yaha par aapko My Account ke just niche khud ka mobile number show hoga. Aur yahi Jio ka mobile number hota hai.
jio-number-kaise-pata-kare
Iske alava aap chahe to Jio ka USSD code number se pata kar sakte hai.
Code:- *1#

Idea Sim ka Mobile number kaise jane?

Idea mobile number janne ke liye aapko ek USSD code dial karna hoga. Idea Mobile number Check code:- *131*1#
Airtel Sim ka Mobile number kaise jane?

Airtel ka mobile number janna chahteh hai to iske liye USSD code dail karna hoga. Jise enter karne par aapko option ko select karna hoga aur kuch hi steps me airtel ka mobile number jan jayenge.

Code:- *121*1# or *121*9# or *282#
Aircel ka Mobile number check karna sikhe.

Aircel sim number pata karna bhi utna hi aasan hai. Bas aapko niche diya code dial karna hai. Phir aap bhi apne Aircel mobile number jan jayenge.

Code:- *133# OR *234*4#
Vodafone Mobile number check karne ka USSD Code

Agar aap Vodafone user hai aur apna number janna chahte hai to yeh code dail karke check kare. Code:- *111*2#

Yeh bhi padhe:-
✔  Vodafone caller tune set kaise kare
✔  Message nahi jaye to kya kare
✔  Jio phone se video call kare
✔  Incoming call band kaise kare

Telenor Mobile number kaise check kare

Simply aapko dial pad me jakar yeh code dial karke call kar dena hai.

Code:- *222*4#

To friends is tarike se aap apne kisi bhi sim ka mobile pata kar sakte hai. Humne yaha par popular sim companies ke Know Your number USSD code diye hai. Agar aap kisi aur company ke janna chahte hai ya Number check nahi ho pa raha hai. To hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare