Mobile se Aadhar Card Status Check online in हिन्दी.

Hey kya aapne Apna Aadhar me kuch correction karvaya tha. Ya koi details add karvayi thi aur ab Aadhar card status check online karna chahte hai. Taki aapko pata chal sake ki Aadhar ki details update huyi hai ya nahi. To dosto iske liye aapko hamari niche batayi steps ko follow karna hoga. Jiske baad aap badi hi aasani se Agar aadhar card update ho jata hai to use download bhi kar sakte hai.
Aadhar-Card-Status-Check-online
Yaha par hum aapko aadhar status check karne ke 3 tarike ke batane vale hai. Jinka use karke aap aadhar status check kar sakte hai. Jinhe maine niche one by one bataya hai.

UIDAI Website se Aadhar Card Status Check kaise kare?

Friends hum yaha par aapko UIDAI se Aadhar card status check online karna batane vale hai. Iske liye aapko sabse pahle niche di gayi link se us page par jana hoga.

| Go To | 

Steps follow karne ke pahle aapke Aadhar card ki receipt (acknowledgment slip) nikal lijiye. Jo aapko last time aadhar update karvane par mili thi. Usme likha Enrollment No. bahut jaruri hota hai.

STEP :-1  Website par pahuchne ke baad sabse pahle apna 14 Digit Enrollment No jise hum EID bhi kahte hai use dale.
aadhar-card-status-check-online-kaise-kare
STEP :-2  Ab uske piche dikh rahe box me pura Date and Time dale. Date aur Time EID ke piche likha dikh jayega.

STEP :-3  Niche dikh rahe Captch verification box me Captcha code as it is dal dijiye. Agar koi word captical hai to bhi esa hi likha jesa usme likha hai.

STEP :-4  Sabhi details (EID, Date & Time, Captcha) ko ek bar check kar lijiye. Aur Check Status button par click kar dijiye.

Ab UIDAI apne Database me record check karega. Aur aadhar card status check online karke batayega. Agar Aadhar data update ho chuka hai. To Your Aadhar has been updated show hoga saath hi Download Aadhar option bhi show karega.

M-Aadhar App se Aadhar card Update Status check kanra

Sabse pahle apne mobile me Play store se M-aadhar app ko download kar lijiye. Aur ise install kar lijiye.

App open karne ke baad isme mobile number dale. Enter kiye gaye number par ek OTP aayega us OTP ko yaha submit kar dijiye. OTP nahj aaye to kya kare?

 1  Ab Check Enrollment/Update Status me jaye.
aadhar-card-status-check-kare

 2  Ab ek form open ho jayega. Jisme aapko Enroll ID, Date & Time dalna hai. Aur phir image me dikh rahe hai Captcha code ko as it is captcha box me dale.
aadhar-card-ki-details-dale

 3  Details dalne ke baad agar Aadhar card update ho chuka hoga. To aapko Download ka icon show hoga. Otherwise Progress me show hoga.
aadhar-download-kare
Agar aadhar update ho chuka hai. To download icon par click kare.

Iske baad aadhar me registered mobile number par ek OTP aayega. Jise aapko yaha par submit karna hoga. Uske baad aadhar card dwonload ho jayega.
Aadhar ka password aapke name ke 4 captial word + year of birth hai. Example:- SUNIL1993

SMS se Aadhar Status check kaise kare? 

Agar aapke android mobile nahi. Ya sirf ek Message send karke Aadhar satus check karna chahte hai. To UIDAI ke service number par ek message send karna hoga. Jiska number maine niche bataya hai. Message send karna sikhe.

Sabse pahle Message box me jaye. UID STATUS likh kar 51969 par send kar dijiye. Enrollment jagah par apna Acknowdgdlement slip ka EID number likhe.
Example:- UID STATUS 123456789101 likh kar 51969 par bheje.

I hope friends ab aapko pata chal gaya hoga ki kis tarah se Aadhar staus check online kar sakte hai. Agar aapko Aadhar status check karne me koi problem hai to hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare