Phone ke Contacts Memory/Sim me Copy kaise kare?

Kya Phone change karne ki soch rahe hai isme to koi problem nahi hai. Lekin yah Aap yah chah rahe hai ki mai phone to change kar lu lekin mera koi bhi contact number miss ya delete na ho to. Iske liye aapko apne contacts ko Memory em copy kar lena chahiye. Lekin aap nahi jante hai ki Phone me Save Contacts ko Memory card me Copy/Move kaise karte hai to aapko chinta karne ki koi jarurat nahi hai.
phone-contact-memory-me-copy-kaise-kare
Aaj ki is post me mai aap logo ko Contact copy karna sikhane vala hu. Jiske baad agar aap Keypad Phone ko Android phone se replace karenge to bhi koi contact delete nahi hoga. Agar aap is tarah se phone change karna chah rahe hai to apne contacts ko copy kar lena chahiye. To chaliye dosto ab iske bare me detail se jante hai.

Contacts ko Memory/Sim me Copy kaise kare?

Contacts yani Mobile number ko copy thoda difficult hota hai kyonki isme hume one by one contact select karke memory ya sim me copy karna padta hai. Isme se agar koi ek bhi contact rah jaye to bad me aapko problem aati hai. Lekin aaj ki is trick me hum directly aapko sabhi contacts ek saath copy karna sikhane vale hai. Iske liye humne niche kuch steps batayi hai. Agar Aap kisi number ko blacklist me add karna ya black lilst se hatana sikhna chahte hai to hamari post padhe.

Step:-1 Jis bhi Phone ke contacts memory me copy karna chahte hai. Uske Dial pad me jaye aur Right side show rahe 3 dots par click kare.
phone-settings-open-kare
Step:-2 3 dots par click karne se Import/Export contacts show hoga is par click kar dijiye.
import-export-kaise-kare
Step:-3 Yaha par aapko 2 category dikhai degi Import and Export. Chunki abhi yaha par hum phone ke contacts ko Memory me copy karna chahte hai. Esliye Export to Storage par click karenge.
phone-ke-contacts-copy-ya-export-kaise-kare
Jisse aapko ek notice aayega jisme aapko bataya jayega ki aapke contacts ki ek list banegi jo .vcf format me hogi aur saath hi us file ki save hone ki location bhi batayi jayegi. Jise English me contacts export karna kahte hai. Ab simply Ok par click kar dijiye.

Upar batayi steps ko karne se contact ki file ban jayegi. Jo ki memory me copy ho jayegi. Ab agar aap apne in sabhi contacts ko dusre phone me transfer karna chahte hai to is file ko us dusre phone me send kar lijiye. Uske baad aapko is file ko export karna hoga. Niche humne Contacts ko export karna sikhaya hai.
Ab chahe to is file ko samhal kar rakh sakte hai taki jab bhi agar aapke phone se koi bhi contact delete ho jaye to yaha se restore ya import kar sake.

New Phone me Contacts ko Import kaise karte hai?

Export karne se hamare phone me ek file ban jati hai us file ko hume settings ke dvara contact import karna hoga. Jisse old phone se bani puri file ke contact new phone me aa jayenge. Export karne se bani file ko open karne ke 2 tarike hote hai.

A. Direct Method

Old phone se bani contact file ko new file me send kar lijiye.

Send karne ke baad us file ko open karne ke liye File manager me us folder me jaye jaha par file receive huyi hai.

Ab simply us file par click kar dijiye jisse aapko Copy contacts ya Import contact to phone show hoga. Jisse file directly import ho jayegi. Agar yah method open nahi hoti hai to dusri method ko follow kare.

B. Manually Method

Step:-1 Jis bhi phone me contact file ko import karna chahte hai us phone ke Dial pad me jaye aur 3 dots par click kare.
contact-import-karne-ki-process
Step:-2 Ab Import/Export contact par click kare.
contact-import-export-kare
Step:-3 Yaha par chunki abhi hum old phone ke contact ko new phone me copy karna chahte hai esliye Import from storage par click karenge. 
phone-se-contact-import-kaise-kare
Contact ko import karne ke liye aapko Gmail Id aur Phone ke account ke option dikhai denge. Aur abhi hamari file phone me save hai esliye Phone import ko select karenge. Yaha se aap apni VCF file ko import kar sakte hai.
import-ke-liye-vcf-select-kare
Esa karne se VCF ke sabhi contact new phone me copy ho jayenge. I hope guys aapko samjh me aa gaya hoga ki kis tarike se hume Phone ke contacts memory card me copy kar sakte hai aur us file ke contact ko dusre phone me import kaise karte hai. Agar aapko abhi bhi koi steps karne me problem hai to hume comment kar jarur bataye. Hum aapki help jarur karenge.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare