PM Cares Fund me Donate kaise kare? Full Detail in Hindi

Hello friends, Jesa ki aap sabhi ko pata hai ki world wide level par Cornoa virus name se ek bimari chal rahi hai. Jiske chalte world me bahut adhik death hoti ja rahi hai. Aur India me bhi iska virus fel chuka hai. Ab ise kam karne aur isme government ki help karne ke liye PM Cares fund donate name se ek account open kiya gaya hai. Jisme aap apni ichchha anusar isme fund (Rs.) donation kar sakte hai.
PM-Cares-Fund-me-Donate-kaise-kare?
Aapke dvara donate kiye gaye fund se Government Patient ke liye Mask, Medicines, Food provide karegi. Bollywood industries ke celebrities and Business man bhi isme apna fund donate kar rahe hai. Agar aap bhi isme fund donate karna chahte hai aur help karna chahte hai. Lekin aapko yah nahi pata hai ki PM care fund ki account details kya hai ya PM relief Fund me donate kaise karte hai to hamari niche batayi steps ko follow kare.

PM Cares fund me donate kaise kare?

PM Cares fund me donate karne ke 2 tarike hote hai. Pahlta to yah ki Aap chahe to kisi bhi UPI Application like- Google pay, PhonePe ya phir PayTm ka use kar sakte hai. Aur dusra yah ki Aap direct iski official website par Online PM Cares fund me donate kar sakte hai.

Humne yaha par Google pay ki help se donate karna sikhaya hai. Kyonki isme hume bank account information(Account number, IFSC code) enter karne ki jarurat nahi padegi. Balki directly fund me redirect ho jayega.

STEP:-1  Iske liye sabse pahle aapko apne Mobile me UPI Pin number enter karke Google pay open karna hoga.

STEP:-2  Google Pay open karne ke baad ab aapko niche ki side drag down karna hai. Jaha par Bussiness section me aapko Corona Virus infor button/option show hoga. Es button par click kar dijiye.

STEP:-3  Es button par click karne se ek new page open hoga. Tab ise bhi niche drag kare yaha par aapko .............. ke pichhe Donate ka button show hoga. Simply es button par click kar dijiye.
STEP:-4  Ab is page me aapko PM Modi ka ek message show hoga aur uske niche Donate button hoga us par click kar dijiye.

STEP:-5  Ab aap PM Cares fund me jitne Rs. donate karna chahte hai enter kare. Yaha par aapko 500, 1000, 5000 Rs ke frequent option milenge. Jaruri nahi hai ki aap inme se hi kisi ka use kare. Aap marji se jitna bhi chahe utna donate kar sakte hai. Iske liye apna Payment enter kare.
STEP:-6  Payment enter karne ke baad Donate button par click kar dijiye. Iske baad aapko Google chrome par redirect kar diya jayega aur usi time par return aapko Google pay par redirect kar diya jayega. Ab Procced to Pay kare. Uske baad aapko apne UPI ka Pin enter karna hoga.
Pin enter karte se hi aapke Bank account se payment debit ho jayega. Aur bank se aapko Text message mil jayega. Aap chahe to apne Google Pay Application ke Transaction me jakar ise dekh sakte hai. To is tarike se aap PM relief fund or PM Cares fund me donate kar sakte hai. Aur Goverment ki help kar sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare