Google Play store Redeem Code kaise Banaye using PhonePe?

Hello Dosto, Aaj mai aapko batane vala hu ki Google Play Store ke Redeem Code kaise banate hai. To dosto sabse pahle Aapke Mobile me Play Store Redeem code claim karne ke liye Mobile me Play Store installed hona jaruri hai. Agar nahi hai to aap ise download & install kar sakte hai.


Mai aapko bata du ki Redeem code ka use hum apne Play store ka recharge karne ke liye karte hai. Kyonki agar hume play store se koi bhi apps ya uske features purchase karna hote hai to iske liye hamare Google Play store balance me paisa hona jaruri hota hai. Lekin aapke pas nahi hai to is post me aapko Google play Store balance recharge karna batane vala hu.

google-play-store-redeem-code-kaise-banaye

 

  •  Redeem Code kya hota hai?

Redeem code ek tarah ka code hota hai jaise ki kisi bhi software ke liye uska license code ya product key ya mobile recharge ke kuch unique numbers. In codes ko app store me paste karke hum play store recharge claim kar sakte hai.

How to Create PLAY STORE REDEEM CODE in Android?

Note:- PLAY STORE par Redeem code bana kar play store recharge karne ke liye hamare Mobile me PHONE PE 🤳, GOOGLE PAY, 🏧, Net Banking me se koi bhi ek chij hona Jaruri hai. Agar aapke paas hai to hum app/features ko buy/purchase kar sakte hai. Hum yaha par Phonepe ka use karne vale hai. Agar Phone pay app available nahi hai to PLAY STORE se hum Phone pay app Install kar sakte hai. To chaliye ab jante hai ki how to do this? You can also watch our video 👇


 

STEP:-1  Pahle hum Mobile (📲) me PHONE PAY app ko Open karenge. aur niche ki taraf Scroll Down karenge. 

 

STEP:-2  Dosto ab aap dekh sakte hai ki yaha par RECHARGE & PAY Bills ka option milta hai, to simply hume recharge & Pay Bills ke picche vale See all👈 ke option par click karna hai.

click-on-play-store-recharge

STEP:-3  Ab dosto jese hi aap See all vale option par click karoge to hmue Purchase vale Section me GOOGLE PLAY ka option milega to simply hume us par click karna hai. Click karne ke bad hume Google play Recharges Code ka option dikhai dega. Mai aapko phir se batana chahta hu ki Google Play recharges code or Redeem code dono ek hi code hote hai. Agar aap google Play ka recharge bhi karna chahte hai to to aap same steps follow kar sakte hai.

 

STEP:-4  Hume Google play Recharges me Minimum 10 Rs. ka recharge kar sakte hai. 10 Rs. Se kam ka recharge nahi kar sakte hai. Hum yha par amount dalkar BUY NOW ke button par click karte hai. 

 

how-to-buy-play-store-redeem-code-in-hindi

Jese hi hum yaha par click krenge to hme 👉PAY ₹10👈par conform karna hoga. Iske bad dosto aapko 👉UPI PIN dalna hoga. Jese hi aap UPI pin par Enter karenge and O.K. karenge to dosto aapke account se payment cut ho jaiga.

 

STEP:-5  Ab aap dekh payenge ki Instan aap logo ko Play Store redeem Code received ho chuka hai. Ab aapko simply is Copy vale button par click karke Code COPY kar lena hai. Iske bad aapko Done✅ par click karna hai. Abhi aap is code ko separate jagah par Paste ya Save kar lena hai.

 

STEP:-6  Ab aapko PLAY STORE app ke andar aana hai. PLAY STORE me aane ke bad aapko simply Right side me upar ki or dikh rahi Profile icon par click karna hai. Phir aapko Payment & Subscription me jana hai yaha par aap dekh payenge ki last me Redeem code ka option diya huaa hai. Simply aapko us par click karna hai.

Aapko jis bhi Email 📩 ID me recharge karna hai, vo aap pahle hi select kar lijiyega. Kyonki aap ek bar play store recharge karne ke baad is payment ko apne bank account me transfer nahi kar payenge. 

 

how-to-claim-play-store-reedem-code-for-free


Ab yaha par aapko Phonepe se copied redeem code Paste kar dena hai yani ki dal dena hai. Iske liye aapko yaha par LONG PRESS karke rakhna hai or yaha se Paste kar dena hai. Jese hi aap paste krenge to aap logo ke samne Redeem ka button dikhai dega to is par click kijiyega. Aap jese hi yha par click krenge to aap dekh sakte hai ki aapka code yha par kitne rupees ka tha. 10₹ ka tha to aapko Confirm par click karna hai. 

how-to-check-play-store-balance

Jese hi aap confirm par click karte hai to aap dekh sakte hai ki aapke PLAY STORE ke account ke andar Play Store redeem Successfully claim ho chuka hai or yha par aapka Play Store Balance 10₹ ho chuka hai. Ab hum check karte hai ki Balance Successfully aaya hai ya nahi.

Play Store Balance & Play store Redeem code FAQ?

  • Q. Play Store balance check kaise kare?

Ans. Ab hum Google Play store balance check karne ke liye Payments and Subscription > Payment methods vale option me jayenge. Yaha par samne hi dikh raha hai ki humara Google play ka balance 10₹ ho Chuka hai, jo ki pahle 0 rupees tha.

  • Q. How to transfer play store balance to Phonepe or Bank account?

Ans. Nahi, Agar humne ek baar play store reedem code generate kar liya hai to hum us code ko vapas bank account ya kisi bhi UPI me withdraw nahi kar sakte hai. Aap sirf inhe use me hi le sakte hai.

  • Q. Can I transfer play store balance to other Email ID?

Ans. Nahi, Aap esa bhi nahi kar sakte hai. Aap sirf play store se kisi bhi chij ko purchase karne me use le sakte hai.

  • How to get Play store reedem code for free?

Ans.  Reedem code generate karne ke liye hume Rs. pay karna hota hai to koi apne reedem code free me kyo share karega. Agar koi Giveway ki tarah share karta hai ya aapko personally deta hai to vo baat alag hai.

Conclusion

 Dosto mene aapko is Article me bataya hai ki PLAY STORE se REDEEM CODE kaise banate hai. I hope Aapko yah article pasand🤗🤩 aaya hoga. Agar aapke pas PLAY STORE se REDEEM CODE kaise bnate hai, isse related koi bhi questions ho to aap hume Comment👈 karke puchh sakte hai and aapka koi bhi doubt ho to aap hume Comment karke bta sakte to hum us doubt ko clear kar denge. 

 

Agar aapko hamara yah Aartical pasand🤩 Aaya ho to aapke friends group ya any kisi bhi group me 👉Share 👈 karna na bhule. 

🙏🤩Thank-you Dosto🤩🙏


No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare