Jio Phone me Whatsapp Status kaise dale-dekhe?

Agar aap Jio phone user hai to apne phone me Whatsapp use karne ki try jarur karte honge. Aur saath hi Jio phone me whatsapp status dalne ki koshish bhi karte honge, Lekin working nahi ho pata hai. Phir bhi man me yah doubt rahta hai ki kya hum phone me whatsapp status dal sakte hai ya nahi? Kya Jio phone ne yah feature diya hai ya nahi to is post me aapko is bare me puri jankari mil jayegi.
jio-phone-whatsapp-status-kaise-dale
Jesa ki main apni Jio phone series ki sabhi post me kahta hu ki, Jio phone ek low budget 4G keypad phone hai. Aur iske features ke karan yah charcha me rahta hai kuch dino pahle Jio phone ne apne latest update me hotspot feature ko bhi add kar diya hai. Jisse yah logo ki pasand banta ja raha hai. Aur ab Jio phone whatsapp status ki baat ko lekar bhi yah charcha me hai.

Jio Phone me Whatsapp Status dalna sikhe

Agar aap hamari website par new user hai aur aapne abhi tak Jio phone ki all time popular Tricks nahi padhi hai to aapko jarur padhna chahiye. Jisme humne Jio phone hotspot, Wifi Connect, Ringtone Download, Set as Ringtone, Set as Caller Tune, Secret code, Send message etc ke bare me detail se bataya hai. Lekin yaha hum Jio phone whatsapp status dalna sikhane vale hai.

Sabse pahle to apne phone me Whatsapp download and install kar lijiye. Agar aap is bare me nahi jante hai to Phone me whatsapp kaise chalaye ko jarur padhe. Aur friends ab agar baat kare iske status feature ki to abhi Jio phone official aur Jio phone Os company (KaiOS) ne abhi tak is feature ke bare me confirm nahi kiya hai. Lekin esa mana ja raha hai ki iske new updates me is feature ko bhi add kar diya jayega. Aur jald hi Jio phone App store par iska bhi update available rahega. Jab bhi yah feature added kiya jayega hum iski update hamari is post par kar denge.

Popular Post:-
Tab tak ke liye aap hamari All Time Popular post ko padh kar knowledge le sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare