Koi bhi Mobile Track kaise karte hai? | Full Detailed |

Agar aapka Mobile phone gum ho chuka hai aur aapko chinta ho rahi hai ki koi uska galat use nahi kar le. Kyonki sabhi ko yahi lagega ki wrong activity mobile holder yani ki aapne hi kari hai. Aur ab aap isse bachna chahte hai. To is post me mai aap logo ko kisi bhi mobile ko track kaise karte hai sikhane vala hu.

Jiksi madad se aap kisi bhi mobile ki live location ko track kar sakte hai. Live location ki help se Police kisi bhi criminal ka pata laga pati hai aur use pakad pati hai. Maan lijiye ki agar aapka phone lost (गुम) ho chuka hai to ab aapke saamne 2 tarike hote hai. Pahla to yah ki aap apne phone gum ya chori hone ki report Police ko de dijiye aur Police se apne Phone/Mobile track karne ke liye request kar sakte hai. Lekin police ke paas aapke phone ko dhundhane ke alava aur bhi dusre jaruri kaam hote hai. Esliye vo aapki report par koi khas dhyan nahi denge. Iske alava dusra yah ki aap khud apne us mobile ko search kare.
mobile-track-kaise-karte-hai-puri-jankari
Yani ki humne khud apne mobile ki location ko trace karna padega. Ab aap yah soch rahe honge ki hamare paas to esa koi software nahi hai jisse hum kisi ko track kar sake. To is problem puri problem ka solution mai is post me dene vala hu. Jisse kisi bhi mobile ko track karna aur bhi aasan ho jayega.

Mobile ki Location Track kaise kare?

Friends, Hamari batayi method se kisi bhi mobile ko track karne ke liye aapko koi special App ya software nahi chahiye. Bas aapke paas android mobile hona chahiye aur usme Gmail Id se login hona chahiye. Agar Gmail id se login hai aur us Gmail ka Id and Password pata hai to aap kahi se bhi aur koi bhi mobile track kar sakte hai. Mobile Track karne ke liye 2 method hai jise humne alag headings dekar bataya hai.

App se Mobile Track kaise kare?

STEP :-1  Agar aap Android application ki help se mobile trace karna chahte hai. To sabse pahle apne mobile ke Play store me jaye aur Google Find My Device App ko download & install kar lijiye.

STEP :-2  Now is App ko open kar lijiye aur Sign in As Guest button par click karke apni us gmail id se login kar lijiye jo aapke gum ho chuke phone me Log In thi. Aur phir iske baad Continue As button par click kar dijiye.
 mobile-me-gmail-login-kare
STEP :-3  Ab Application Location access ki permission mangega tab ise Allow kar dijiye. Aap jese hi Allow karenge tab aap dekh sakte hai ki Lost ho chuke mobile ka Name show ho raha hoga.  Aur saath hi uski location bhi show hogi. Isme aapko kuch button dikhayi denge jiske use maine niche bataye hai.
gum-mobile-track-karna-sikhe

  1. i Button :- Agar aap janna Gmail Id se device information nikalna chahte hai to ibutton par click kar dijiye. 
  2. Play Sound button use:- Agar aapko esa lag raha hai ki gum hua phone aas-paas me hi hai aur vo silent hai to aapko Play Sound button par click kar dena hai. Jiske baad 5 minute tak phone silent hone par bhi Full volume me ring karega. Jisse aapko uski location pata chal jayegi. 
  3. Secure Device:- Is button se aap apne lost ho chuke mobile ki screen par Notification message Send kar sakte hai. Ab jise bhi aapka phone milega oose screen par Message aur Number (optional) show honge. Agar vo chahe to aapko contact karke phone return kar sakta hai.
  4. Erase Device:- Agar aapko dar hai ki aapka phone nahi milega aur usme bahut important data  hai to aapko Erase device kar dena chahiye. Jiske baad pure phone ka data clean/delete ho jayega.
Agar aap Erase Device option use karte hai to phone data delete hone ke baad aap phir kabhi apne gum ho chuke mobile se contact nahi kar payenge.
Ab aapko samjh aa gaya hoga ki kis tarike se hum App ki help se ko bhi mobile track karna sikh sakte hai.

PC/Mobile me Website se Live Mobile Track kaise kare?

 1.  Mobile/PC me Google par jaye aur Find me device type kar search kare. Aur first website ko open kar lijiye joki Google ki hai aur aapse Gmail Id login karne ke liye kaha jayega.
find-my-device-search-kare
 Tab apni us gmail id se login kare jis mobile ko track karna chahte hai. Yani ki gum ho chuke hai mobile ki gmail id se login kariye.

Yeh bhi padhe:-
 2.  Ab aap dekh sakte hai ki display me aapko mobile ki location Google map me, All etc jankari dikh rahi hogi. Aur saath hi Play Sound, Secure Device, Erase Device ke name se option dikhai de rahe honge. Jinke use karna maine upar bataye hai.
computer-me-mobile-tracek-kaise-kare
I hope guys aapko hamari yah post pasand aayegi jisme humne kisi bhi mobile ko track karna sikhaya hai. Taki Agar kabhi aapka mobile gum ho jaye to aap bina police ki help se apna mobile pata kar sake. Agar aapko batayi gayi steps ko follow karne me problem aa rahi hai to hume comment kar batyae ya humse contact kare taki hum aapko gum ho chuka phone dilane me help kar sake.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare