Whatsapp par message, images recover kaise kare

Bahut sare logo ye problem face karna padti hi ki kai baar unke whatsapp ke message delete ho jate hai aur jyada tar bahut imprtent message bhi delete ho jate hai to ese me kya kare chaliye aaj me aapko iska solution bata raha hu aaj me aapko ek esi trick batane wala hu jiski madad se aap aasani se apne delete ho chuke whatsapp message wapas la sakte ho. Yaha par vaise to 2 tarike hote agar aap keval 7 din purane message ko hi recover karna chahte hai to aapko apna whatsapp uninstall karke firse install karna hai aur fir se apne whatsapp me log in karna hai lekin aapko yaha ab restore ka option milta hai jis par click karke aap apne whatsapp me 7 din pahle ke delete hue message recover kar sakte hai, par ye to simple sabhi ko iske bare me pata hota hai.
Whatsapp message recover kaise kare

Lekin me yaha par aapko un message ko recover karne ki bhi mathod bata raha hu jisse ki aap bahut purane message ko bhi aasani se recover kar sakte hai chaliye bina time barbad kare is trick ko jante hai.


Whatsapp par delete message recover kaise kare

1.) Whatsapp par delete ho chuke message ko recover karne ke liye aap apne file manager me chale jaye yaha par phone storage aur SD Card ka option milega aapko SD card ke option ko select karna hai, lemon awoke phone me SD card nahi hai to aap phone storage ke option par click kare. Ab yaha par bahut sare folder honege aapko yaha par Whatsapp ke folder par click karna hai.
Whatsapp data recover kaise kare
Is whatsapp folder me aapko 2 option mil jayenge jisme se aapko databse ke folder par click karna hai is folder me aapko aapke sare whatsapp ki message data files mil jayegi, aur har file par date bhi likhi hogi.
Whatsapp message backup
2.) Yaha par aapko jis bhi tarikh ke data ko recover karna hai bas oos data file ko rename karna hai aur last me  .Backup  ko likh kar save kar dena hai hai. Aapko yaha par example dekar samjha raha hu. Jaise ki maan lete hai ki aapne kisi data file ko select kiya jiska naam hai -

msgstore-2017-11-11.1.db
Ab aapko isko rename karna hai aur iske last me likhna hoga .backup kuch is tarah se -

 msgstore-2017-11-11.1.db.backup


3.) Jab aap apni un sabhi data file ko rename karke unke last me .backup likh dete hai to uske baad aapko apne mobile ki setting me jakar storage me apps par click karna hai aur ab whatsapp ko select karna hai.
Whatsapp clear data
Now aapko apne whatsapp ka data clear karna hoga isliye Clear Data par click kare.

4.) Ab fir se apne whatsapp ko khole aur whatsapp par apna number verify kare wohi wale jo pahle the aur ab aapko yaha par restore ka option aayega aapko is option par click karna hai.

Ab aapne jis bhi tarikh ki data files ko rename karke .Backup likha tha oos tarikh ke whatsapp message recover ho jayenge.

Dosto ye hai whatsapp par purane se purane message recover karne ka tarika, i hope ki aapko ye post achcha laga hoga aur agar koi problem aati hai whatsapp message recover karne me to comment kare hum aapki help karenge aur dont forget hamari ye post share jarur kare.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare