PC में Hindi (हिन्दी) typing kaise kare? Working Method 2020

Namaskar dosto, Aaj hum ek ese topic ke bare me baat karne vale hai. Jo har kisi computer user ke dimag me ek na ek bar to jarur uthatha aur vo yah ki- Kya hum apne computer me shbado ko english me likhe aur vo shabd hindi me typing honge ya nahi. To mera jawab Ha☺hai. Ji ha dosto ab agar aap computer me Hindi typing karna chah rahe hai. To yah jaruri nahi hai ki aapko hindi typing aati hai ya nahi.

Internet par bahut sari tools and software available hai jinki madad se aap ise kar sakte hai. Bas aapko apni local language me type karte jana hai. Aur vo word Hindi me type hota jayega. Jab aap kisi software ki madad se typing karenge to aapko kisi tarah ke code ko yaad rakhne ki bhi jarurat nahi hai. Jesa ki hume Kruti Dev, Mangal me yaad rakhna padta hai. Us language me hume har kisi Key par word ki position ko yad rakhna padta hai. Aur uske hisab se key press karna padti hai. Lekin yah software aapke kaam ko bahut hi aasan bana dega.
hindi-typing-kaise-kare-sikhe
Agar aap Kruti Dev, Mangal font ka upyog karna start karte hai. To aapko iska kram yaad rakhne me thoda samay lag jata hai. Lekin is software ki help se hum aapko English to Hindi typing kaise kare sikha denge. Aur iske liye hum Google Input tool ka use karenge.
Google Input Tools kya hai?

Google input tool ek free hindi typing software hai. Jiski madad se hum computer me hindi typing kar sakte hai. Social media par jis tarah se hindi typing ka use karte hai. Yani ki Hinglish (Hindi+English) thik usi tarah se hum iska bhi use kar sakte hai. Is tool ka use karne ke liye hume Internet connection ki bhi jarurat nahi hoti hai. Bas hume ek bar apne computer/laptop me google input install karna padta hai. Uske baad kabhi bhi hum iska upyog Hindi typing karne ke liye kar sakte hai.

Yeh bhi padhe👇
Software update kaise kare?
Excel me Bill kaise banaye
Windows 7 install kaise kare

To dosto chaliye jante hai ki Hindi typing kaise karte hai aur computer Google Input tool kaise download karte hai?
google-input-se-hindi-typing-kaise-kare
Example👉Computer me Hindi typing kaise kare tab vo kuch is tarike se dikhayega. Jise aap upar image me dekh sakte hai.

Computer me Hindi typing kaise kare aur Google Input Download kaise kare?

Friends jesa ki maine abhi aapko upar bataya ki Google Inpute Google ki ek esi tools hai. Jiski madad se hum English me type kiye ja rahe shabdo ko Hindi me type kar sakte hai. Yah tool aapke Hindi typing karne ka kaam aasan banati hai. Jisse aap bahut hi kam samay me Hindi typing kar sakte hai.

STEP :-1  Sabse pahle niche di gayi link se Google Input Tool ko download kar lijiye. 


 
STEP :-2  Input tool download karne ke baad ise Right click kar Run As Administator open kare aur Computer/laptop me install kar lijiye. Agar aap nahi jante hai ki computer me software kaise install karte hai. To hamari post jarur padhe.

Google Input se Hindi Typing kaise kare or Use karna sikhe

Jab aap apne computer me Input software install kar lete hai. Tab Taskar ke right hand side me jaha par Date & Time show hota hai. Uske pas me language ke option dikhai denge. Abhi English language set hai. Esliye Eng likha dikhai dega. So ab hume is par click kar Hindi(Google input Tool) par set kar dena hai.
Ab aap Text editor software like:- Wordpad, MS word ko open kare aur usme typing karna stat kare. Ab aap dekh sakte hai ki aapke English me likhe word hindi me typing ho rahi hai. Man lijiye agar aap क्या likhna chahte hai. To kya hai likhna hai jiske baad vo क्या me badal jayega.
hindi-typing-change-kare
Agar aapko bich me kuch english word bhi likhna pad sakte hai. To basha badlne ki jarurat bhi padti hai aur agar shortcut tarike se Hindi to English or English to Hindi me karna chahte hai. To Alt+Shift button ka use kar sakte hai. Jisse language change ho jayegi. Aur agar aap Windows 8, 10 user hai to Windows key+space bar ka bhi use kar sakte hai.

So is tarike se aap computer google input tool ka use karke Hindi typing karna sikh sakte hai. Aur agar aap Input tool ka use nahi karna chahte hai. Aur sirf Kruti Dev language ka use hi karna chahte hai. To computer me Kruti Dev font ko download & install kar lijiye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare